Kayee Saloon Ke Baad Jwaan Jab Hu Jati Hoon Main
Os Din Pee Ya Kay Ghar Sudhar Dee Jati Hoon Main
Maan Kee Nasyhatoon Ka Tokra Kandhay Pe Rakh Kar Le Jati Hoon Main
Loot Kay Wapas Na Anay Keleye Apna Kafan Saath Lay Jatee Hoon Main
Sab Ku Roota Peechay Chor Kar Khud Bhi Rootee Jatee Hoon Main
Hamesha Khush Rehnay Kee Qasam Baba Keleye Khati Hoon Main
Whaan Ju Maan Meri Kabhi Bunti Nahi
Os Ke Beti Khelati Hoon Main
Larkay Larkyoon Se Naya Rishata Bunati Hoon Main
Behan Bun Tee Maghar Bhabi Kehlatee Hoon Main
Sab Keleye Apnay Hathoon Se Khana Pakati Hoon Main
Sab Ke Kahnay Ke Baad Akhir Mein Khud Khati Hoon Main
Jis Kay Leye Ghar Bar Apna Chor Kay Jatee Hoon Main
Os Shaks Ke Ghar Ku Kabhi Apna Nahi Pati Hoon Main
Waqt Ajeeb Tarhaan Se Kaat Tee Jati Hoon Main
Raat Ku Din Aur Din Ku Raat Bata Tee Hoon Main
Ek Din Khud Apni Hee Tareekh Doh Raah Tee Hoon Main
Jis Din Jawaan Beti Kee Apnee Maan Bun Jati Hoon Main
Find latest collection of Rukhsati poetry in urdu. Best Rukhsati shayari in urdu from famous poets. Read famous Rukhsati poetry ghazals at Hamariweb.