Add Poetry

Safar Ki Raat

Poet: By: fahad khan, karachi

Mujh Ko Ik Hamdam Mila Tha Ik Safar Ki Raat Main
Main Bohat Baykhud Hoa Tha Ik Safar Ki Raat Main

Janay Kis Ki Yaad Thi K Ik Manzar Dekh Kar
Toot Kar Main Roo Para Tha Ik Safar Ki Raat Main

Woh K Jis Say Umar Bhar Ki Doryian Mansoob Hain
Meray Seenay Say Laga Tha Ik Safar Ki Raat Main

Har Taraf Phailay Hoye Thay Yaad-E-Gham K Silsilay
Kitna Mushkil Raasta Tha Ik Safar Ki Raat Main

Ghar Say Bahar Paon Rakhtay Hi Laraz Uthta Hai Dil
Hadsa Aisa Hoa Tha Ik Safar Ki Raat Main

Aaj Bhi Gungunata Hon Usay Tanhai Main
Geet Jo Hum Nay Suna Tha Ik Safar Ki Raat Main

Rate it:
Views: 765
07 Apr, 2008
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets