Add Poetry

Sard Raaton Ki Tanhai Main

Poet: UNKNOWN By: Rahi, Hyderabad

Sard Raaton Ki Tanhaai Mein..
Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hain,
Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banoge,
Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hain!

Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-Te Hain,
Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hain,
Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate,
Ki Dil Ko Bilal Sambhale Huye Bethe Hain!

Kaash Tum Mere Dard-E-Dil Ko Samajh Paao,
Hum Jo Seene Mein Abhi Tak Dabaye Bethe Hain,
Par Woh Jo Humse Dard Bayaan Nahi Karte,
Rehkar Khamosh Konsa Raaz Chupaye Bethe Hain!

Khushi Bhale Thodi Si Par Dene Ke Liye Shukriya,
Paigam Tere Bheje Huye Seene Se Lagaye Bethe Hain,
Hai Ek Tasveer Bhi Nighahon Mein Teri,
Bus Ab Usiko Mann Ki Murat Banaye Bethe Hain!

Tujhe Yaad Karna Teri Raah Takna Hurdum,
Sab Bhulakar Ab Yeh Ek Naya Kaam Liye Bethe Hain,
Janta Hon Tujhe Paane Ka Anjaam “E-Naaz”,
Phir Bhi Hum Naadan Tumhi Se Dil Lagaye Bethe Hain..!!
 

Rate it:
Views: 2089
07 Apr, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets