✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Sayyeda Aariba
Search
Add Poetry
Poetries by Sayyeda Aariba
دل تو چاھتا ھے
دل تو چاہتا ہے ہر بات تجھ سے کہہ دوں
ایک ایک بات دل میں کھٹکتی ہے میرے
تنہائی کے موسم میں یاد نہ کروں تو
تیری ہر یاد آس پاس بھٹکتی ہے میرے
دریا سے کوئی پیاسا نہیں جاتا میرے دوست
تیری ہنسی ہر غم کو مسلتی ہے میرے
دغا باز لوگوں سے دنیا بھری ہوئی
ہر زخم کو رہ رہ کے کھرچتی ہے میرے
sayyeda aariba
Copy
سوکھے صحرا کا پھول سہی
سوکھے صحرا کا پھول سہی
جلے سپنوں کی خاک تھی
رات کی آنکھوں کا جگنو بنا دیتا
حسرتوں کا اسیر تھی
چاہتوں کا بکھری خوشبو بنا دیتا
بکھرے ذروں کی
بکھری کہانی تھی
کرنوں کے مسکراتے پھول
محبت کی بنفشی لو بنا دیتا
لمحہ لمحہ پگھلتی زندگی سے
خزاں ذدہ اشجار سے
الفت کی پاکیزہ کلیوں کو چنکر
میرے دامن کو سجا دیتا
یادوں کے بھٹکے لمحات سے
روشن لمحوں کی آغوش میں
نوخیزسویروں میں لےجاتا
وفا شعار لمحوں کا حصار دیتا
سوکھے صحرا کا پھول سہی
sayyeda aariba
Copy
Ye Rasstai Kaha Kho Jatai Hai Mere
Jab Kabhi Manzilo'n Ki Talash Mai Niklo
Ye Rasstai Kaha Kho Jatai Hai Mere
Gam Ki Ye Sham Dhalnai Kai Intaizar Mai
Daikhai Kitne Saal Jatai Hai Mere
Raahai Takti Rahti Hoon Mai Un Khushyo Ki
Har Eid Ko Jo Dar Pai Aakar Lout Jatai Hai Mere
Rag O Pay Mai Utarja Ai Aisa Gam Mera
Dukh Kai Din Ab Dost Ban Jatai Hai Mere
Pyasai Saihra Ki Tarha Baibass Nigahoo'n Mai
Masoom Sapnai Kiyo Bikhar Jatai Hai Mere
Sayyeda Aariba
Copy
Varq Varq Bikhri Udassyaa'n
Muskrahto Ki Talash Yaa'n
Zindagi Ki Talash Yaa'n
Raiza Raiza Khuwab Yaa'n
Nagar Nagar Udass Yaa'n
Varq Varq Bikhri Udassyaa'n
Nazar Nazar Phaili Mayusyaa'n
Kirn Kirn Udass Udass
Jaha'n Gye Vaha Tanhayaa'n
Shabnam Shabnam Bikhra Bikhra
Dasht Dasht Khamosh Yaa'n
Qatra Qatra Tofan Yaa'n
Mahaik Mahaik Bai Aass Yaa'n
Totai Totai Gull Hai Sarai
Kali Kali Viran Yaa'n
Sayyeda Aariba
Copy
Bhatka Hua Khuwab
Zindgi Ke Har Ramz Sai Door
Saihrao'n Mai Bhatka Bhatka
Koi Sunhaira Khuwab
Hasher Khaiz Subha Ke Sath
Khamush Yaado Ki Dahliz Par
Izyat Bharai Saihrao Ke Sirab Mai
Bai Kara'n Dukh Ki Musafat Ke Baad
Dil O Nazar Mai Naqsh Bankar Utarti Hue
Yaqin O Imaan Mai Dhalti Hue
Rang O Nighat A Noor Ki Phoovaar Mai Dhal Gya
Intaizar Ke Jugno'on Sai Roshan
Yadoo Ke Chalktai Lamhai
Masti Mai Sarshar Saa'ato'n Mai
Hisar A Ulfat Ki Dahliz Par Ruqs Karti
Subha Azal Ki Baharo'on Mai Dhal Gya
Sayyeda Aariba
Copy
Nafrat Ho Ya Ho Muhabbat Aasan Nahi Hoti
Vafa Ki Rahai Manzilo Se Apni
Bai Maan Nahi Hoti
Bai Rukhi Pai Sanm Ki Itni
Hairan Nahi Hoti
Vo Baivafa Hai Gar Mujhko Pahlai Se Pata Hota
Yoo'n Vafa Kar Kar Ke Mai
Paraishan Nahi Hoti
Din Ki Raahat Raat Ka Suku'n
Chihin Laiti Hai
Nafrat Ho Ya Ho Muhabbat Aasan Nahi Hoti
Gam Hata Kai Chaihre Se
Kitna Bhi Sajalai
Har Muskraht Khushi Ki Muskan Nahi Hoti
Aanso Gamoo'n Ke Ho Ya
Khushi Ke
In Aansoo'n Ki Koi Zubaan Nahi Hoti
Jab Tallk Aati Nahi Dukho Ki Dhop Zindagi Mai
Tab Tallk Apnoo'n Ya Parayoo
'N Ki Pahchan Nahi Hoti
Gar Ilm Hota Itni Shiddato Se Thokarye Lagai Gi
Zindagi Mai Tujh Se Itni Bhi Anjan Nahi Hoti
Sayyeda Aariba
Copy
Zindagi Ko Jeenai Jarahi Hoo'n
Andhaire Mai Roshni Ka Diya
Jalane Jarahi Hoo'n
Raaho Ko Ujala Dai Vo
Jugnoo'n Ko Bulane Jarahi Hoo'n
Iss Gaihri Kaali Raat Mai
Ummid Ka Chirag Roshan
Rakhna
Mai Saher Ke Savairo Ko Laine
Jarahi Hoo'n
Mere Chaman Mai Khizao'n
Ka Muasam Thaira He Sahe
Kal Ki Aass Par Baharo Ko Laine Jarahi Hoo'n
Ghamo Say Ab Bhot Dino Tak Rahi Judi Hue
Massarto Ki Kalyo Dil Ki
Khushyuo Ko Mananai Jarahi
Hoo'n
Saihra Ki Tapish Mai
Chatakhti Hue Aarzoo'n
Aankho Ke Kuch Purane Khuwabo Jagane Jarahi Hoo'n
Raat Ke Sitaro Bhatke Musaafir Ko Rasta Dikha Do
Roshan Karo Ye Rahai Zindagi
Ko Jeenai Jarahi Hoo'n
Sayyeda Aariba
Copy
Door Nazar Tak Tanhaie The
Raat Ki Gaihraie Mai
Jage Kitne Sapne Naino Mai
Sunhaire Komal Sapne
Kachchi Neend Ke Khuwab
Kitni Chahato Ke Baad
Sajaye Sapne Naino Mai
Aankh Khuli To Har So
Dukh Ki Chaie Virane The
Saihra Ki Gaihre Khamoshi The
Beech Samander
Neela Pani
Door Nazar Tak Tanhaie The
Sayyeda Aariba
Copy
Band Mutthi Ke Khuwab
Sochti Hoon
Ye Band Mutthi Ke Khuwab
Mere Hathaile Ke Lakiro Se
Ujly Sitaro Ke Tahrir Ban Jaye Ge
Yaa
Ye Kanch Ke Khuwab Kahi
Dhua Dhua Hassrato Ke
Sham Na Ban Jaye Ge
Ye Meri Zat Ke Andhi Musaft
Mujhe
Shab Ke Salvato Ka Qaher Na Banadai
Ye Parchayo Ke Gubar Mujhe
Baijan Jazbo Ke Qaber Na Banadai
Naye Ruto Ke Talib Nigahe Kahe
Majburiyo Ke Dayre Mai Simat Ke
Khuwabo Ke Tote Silsily Na Ban Jayea
Sayyeda Aariba
Copy
Mubarak Ho Eid Aye
Jab Se Daikha Hai Nokhaiz
Pahile Ka Chand
Har Tarf Se Gonjte Sada Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Har Ghar Har Gali Har Koche
Mai Aye
Amir Ke Mahal Aye
Garib Ke Ghar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Farishto'n Ke Fojo'n Mai Hal
Chal Mache Hai
Musahafa Ke Liye Muslmano
Zamin Pai Mlayka Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Milne Valo Ke Chehre Pai
Khushyu Ke Sogat
Bichde Hue Logo Ke Dhukh
Bhari Yad Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Aj Ke Shab Milega Pure
Ramzan Ke Ebadato Ka Sawab
Rahmato Ka Nazrana Laiker
Ye Haseen Rat Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Udass Na Ho Momino Jane Se
Ramzan Ke
Bai Panah Masrrato Se Mana
O Ke Eid Aye
Mubark Ho Eid Aye
Khub Karo Iss Shab Ke
Ebdate'n Ke Sila Milega
Jo Mange Hai Dua Vo Sare
Murad Bar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Maa Baap Ke Shafiq Dua'aon Ke Sath
Bhai Bhano Ke Muhabbat Ka
Paigam Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Sayyeda Aariba
Copy
Dua'a
Yaa Rab Mere Karna Karm
Apna Aise
Duniya Mai Dai Dai
Jitne Bhe Gam Ho Jaise
Jaise He Band Karo Palke'n
Duniya Ke Aahto Se
Sari Ummer Ke Thakan Se
Qabr Ke Andhaire Mai
Har Jaggha
Bas Mujhko Too Dikhai Dai
Har Pal Bas Too He Sunai Dai
Tera He Jalwa Har So
Tera Noor Jagmaga Dai
Sare Rishte Sath Chore
Sari Duniya Mujhse Roothe
Too Razi Rahna Mujhse
Tera Sath Na Na Mujh Se Chote
Mujh Pai Itna Rahaim Karna Yaa Rab
Tere Pass Jab Mai Aao'n
Tere Roshan Sarapai Ka
Pur Noor Didar Karadai
Sayyeda Aariba
Copy
Gamo Ke Aanso Sare Aankho Se Koi Bahaa Dai
Dil Sulag Raha Hai Usse Suku'n Koi Dilaa Dai
Jis Dagar Hai Jana Uss Gali Ka Koi Pataa Dai
Jis Diye Se Jalaya Gya Mera Aashiya
Uss Hasee'n Chirag Ko Koi Bujhaa Dai
Mere Dil Ne Chaha Hai Bai Panah Tujh Ko
Chahe To Vafa Dai Ya Dil Ko Mere Koi Sazaa Dai
Kaise Tadap Rahe Hai Usske Diye Zakhmo Se
Koi Usse Jata Dai Koi Usse Bataa Dai
Ghutan Se Lag Rahe Hai Zalim Ye Judaai
Ek Ghari Mai Ussko Daikho Ussko Koi Bulaa Dai
Bai Vafai Ke Thukaro Se Ukta Gye Ho Yarb
Vafa Ke Musskraht Massarrato Ke Chare Pai Koi Sajaa Dai
Rukte Nahe Hai Larya Ashko Ke Baivafai Se Jana
Gamo Ke Aanso Sare Aankho Se Koi Bahaa Dai
Sayyeda Aariba
Copy
Chirag Sare Bujhadiye
Mai Rukte He Nahe Use Manate Manate
Vo Thakta Bhe Nahe Mujhe Thukrate Thukrate
Vo Mere Sath Hoke Bhe Mera Apna Nahe
Yunhe Ummr Tamam Hoge Uske Bairukhe Bhulate Bhulate
Kuch Khaber Nahe Kab Hm Bhe Patthar Ke Hogye
Iss Shaher Ke Pathar Dilo'n Se Takrate Takrate
Shab Aansoo'n Mai Gujri Din Aaho Mai Gujra
Nidhal Hogye Hai Iss Rishte Ko Nibhate Nibhate
Vaqt Ke Aandhiyo Ne Chirag Sare Bujha Diye
Ek Ummr Gujre Hai Jise Jalate Jalate
Itne Pass Hoke Bhe Sadyo Ke Dore Hai
Muddate Guzr Gye Qurbate Bahdate Bahdate
Bade Dino Baad Ek Ummed Ke Kiran Mili Hai
Usse Bhe Na Mujh Se Chino Muskrate Muskrate
Sayyeda Aariba
Copy
Dukh Bhe Bolte Hai
Ye Choudhvi Ke Shab
Ye Choudhvi Ka Roshan Chand
Apne Surkh Roshni Se
Sari Duniya Ko Karta Roshan Chand
Jab Bhe Daikhte Hoo'n
Mere Sapno Ko Totne Ka
Dukh-----
Dhiry Dhiry Seenai Mai Utrta Hai
Vo Dukh Darya Hai
Qatra Qatra Bahta Hai
Vo Dukh Aanso Hai
Aankho Mai Rahta Hai
Jab Seenai Ke Andar Sapno Ke
Darya Dolte Hai
Jab Rato Ko Sard Hava
Mousm Mai Chup Se Gholte Hai
Jab Khuawb Aankho Mai
Sojate Hai
Jab Aanso Palke Rolte Hai
Tab Aahista Aahista
Aankhai Kholte Hai
Ye Dukh-------
Ye Dukh Bhe Bolte Hai
Sayyeda Aariba
Copy
Talash Hai
Mai Udass Mousam Ho Khiza Ka
Hamai Baharo Ke Talash Hai
Ye Phol Hai Sab Murjhai Hue
Hamai Nokhaiz Kalyo Ke Talash Hai
Ye Chirag Hai Sab Bujhe Bujhe
Hamai Roshan Sitaro Ke Talash Hai
Vo Jo Ek Khamoshi Ka Safer Tha
Ikhtetam Ko Pahunch Chuka
Hamai Kabse Ummed Ke Shaher Mai
Naye Manzilo Ke Talash Hai
Ye Shidat A Gam Ke Andhaire
Tapte Sulagte Kuawb Nahe
Hamai Dil Ke Har Gali Mai
Nayai Ujalo Ke Talash Hai
Sayyeda Aariba
Copy
Bicharne Ka Dukh
Koi Bat Hai Uske Bato Mai
Koi Raz Hai Uske Ankho Mai
Khamosh Hai Kuch Kahte Bhe Nahe
Koi Chupa Hai Dil Ke Panaho Mai
Tanha Bhatkate Hai Tere Yado Mai
Chand Bhe Akela Rahta Hai Andhaire Rato Mai
Ab To Har Chahra He Baivafa Nazer Ata Hai
Itne Thokre Khaye Vafao Mai
Tujhse Bichrne Ka Dukh Chahe Jitna Ho
Ab To Hmai Milna Hai Sirf Khuwbo Mai
Sayyeda Aariba
Copy
Do Hanso Ka Jora
Rozana Vo Samander Kinare Milte The
Sapno Mai Khoye Rait Pai Chalte Rahte The
Hanso Ka Ek Joda Roz Kinare Baitha Karta Tha
Ye Dono Unn Se Bate'n Karte The
Ek Din Hansani Udass Akile Baithe The
Jaise Uske Sari Duniya He Rothe The
Daikh Ke Hansani Ko Aise Vo Dukhe Hogye
Usne Pucha Ek Dam Se Kiyo Chup Hogye
Vo Bole Daikho Hans Use Chor Kar Chala Gya
Kaise Ek Pal Mai Muhabbat Sari Bhula Gya
Vo Bola Parindo Ka Kiya Unnhe Samjh Nahe Hote
Unka Bhrosa Kiya Payar Karne Ke Bojh Nahe Hote
Phir Vo Roz Yu'nhe Milte Rahe
Hans O Hansni Ke Bate Karte Rahe
Hansni Roz Hans Ka Intezar Karte Rahe
Uske Dukh Ke Sath Payar Karte Rahe
Ek Din Hans Khushu'n Ka Payam Bankar Aya
Hansani K Liye Massrto Ke Sogat Lekar Aya
Uss Din Vo Uska Intezar Karte Rahe
Hanso Ke Jore Ko Daikhte Rahe
Use To Na Ana Tha Vo Nahe Aya
Vo Roz Uska Intezar Karte Rahe
Vo Roz Hanso Ke Jode Ko Daikha Karte Hai
Ghar Lot Te Vaqt Dukh Se Socha Karte Hai
Samjh Kis Me Nahe Insan Ya Parindo Mai
Hans O Hansni Loot Gye Apne Gharondo Mai
Sayyeda Aariba
Copy
Hare Manazir
Mai Jante Ho'n
Ye Udass Aangan
Yado Ke Dhol Se Aat Chuke Hai
Mahrab A Vaqt Ke Taqcho Mai
Muhalt Ka Ek Bhe Diya
Nahe Jalega
Gunche Nahe Chatke Ge
Tayer Nahe Chahke Ge
Or Na Gunje Ge
Madhur Nagme Jharno Ke
Abhe Ache Ruto Ke Din Nahe Aye
Ummedo'n Ke Roshani Ka
Jo Dar Khula Hai
Vo Agar Ab Ke Band Hogya To
Nahe Khulega
Magar Ye Aankhain
Mossam A Khiza'n Ke
Banjh Pan Mai
Vaqo Had A Nazar Mai Phaile
Sadaqato Mai
Hare Manazir Tatolte Hai
Hare Manazir!
Hare Manazir Kaha Se Aye'n?
Sayyeda Aariba
Copy
Maa'n Ke Mohabbat
Vo Chamn Jo Zindagi Mahkati Hai
Rahmato Ka Saya Bankar Ate Hai
Jab Bhe Daikhte Hai Muskraht Se
Duao'n Ke Phool Barsate Hai
Mamta Ke Uska Na Koi Kinara
Har Ghri Ghar Ke Roonaq Badhate Hai
Uske Aagosh Dukho Ke Nijat
Use Daikh Kar Thakn Dur Hojate Hai
Gam Ke Dhop Fikr Rat Ke Andhiyo Mai
Mera Syba'n Mere Panah Banjate Hai
Haq-A-Vafa Mai Kanval Ke Phool Ke Tarha
Khushk Gar Pani Ho To Khud Bhe Murjhate Hai
Tapte Hue Sahra Mai
Abar-A-Rahmat Banjate Hai
Tarsh Dhop Mai Saya Shajr Banjate Hai
Ummid Ke Kirn Chirag-A-Zindage Ko
Mohabbat Se Kholos Dil Se Jalate Hai
Aaks Sarapa Khushbo Sukh O Massart Ka Itar
Chahto Ke Barish Se Barsate Hai
Makhmur Shafiq Nazr Mahtab Chahra
Payar Se Daikhe To Duniya Badl Jate Hai
Sayyeda Aariba
Copy
Bat To Tb Hai
Har Koi Udass Chahra Liye Gam Mai Sharik Hoga
Bat To Tb Hai Kise Ke Khushe Ko Apna Ke Khush Ho
Sayyeda Aariba
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets