Add Poetry

Shayad Ek Saza’a Abhi Baaqi Hai

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Zindagi Ki Dhoop Chaaon Se Jang Abhi Baaqi Hai
Kitne Rukh-e-Toofa’n Ko Modna Abhi Baaqi Hai

Yu’n Josh-o-Jalal Thik Nahi Is Adhuri Fateh Per
Kitne Haalat Se Takrana Abhi Baaqi Hai

Ummid Ki Pyas Lagi Thi Waihshat Ke Sehraa Mein
Kitne Zarro’n Mein Chupi, Paani Ki Talash Abhi Baaqi Hai

Palat Kar Jab Bhi Dekha Apne Aashya’n Ki Taraf
Kitne Phool’n Ko Kaanto’n Se Mehfuz Rakhna Abhi Baaqi Hai

Daaman Daagh-Dar Hota Hai Sirf Ek Daagh Se
Kitne Tohmato’n Se Apne Aapko Bachana Abhi Baaqi Hai

Apne Hi Khwahish Ke Mazar Per Ashko’n Ke Kuch Phool Chadhaye They
Kitne Aarzuo’n Ko Sooli Per Chadhana Abhi Baaqi Hai

Tabahi Ke Toofa’n Apne Pichey, Kuch Nisha’n Chodh Jate Hain
Kitne Bikhrey Huey Lamho’n Ko Sametna Abhi Baaqi Hai

Door Reh Kar Bhi Fikr-mand They Ehl-e-Watan Ke Liye
Kitne Ghamgeen Chehro’n Ko Hasana Abhi Baaqi Hai

Qafas Ki Salakho’n Se Dekh Rahe They, Khuley Aasma’n Ki Taraf
Kitne Zanjeero’n Mein Jakdey They, Shayad Ek Saza’a Abhi Baaqi Hai

Dil-e-Shakir Ki Zia Mein Ghamo’n Ka Mausam Chaa Gaya Hai
Kitne Door Door Hain Hum, Paas Aane Mein Waqt Abhi Baaqi Hai

Rate it:
Views: 409
07 Jul, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets