shor yunhi na parindon ne machaya hoga
koi jangal ki taraf shahr se aaya hoga
ped ke katne valon ko ye malum to tha
jism jal jaenge jab sar pe na saaya hoga
bani-e-jashn-e-baharan ne ye socha bhi nahin
kis ne kanton ko lahu apna pilaya hoga
bijli ke taar pe baitha hua hansta panchhi
sochta hai ki vo jangal to paraya hoga
apne jangal se jo ghabra ke ude the pyase
har sarab un ko samundar nazar aaya hoga