suna karo miri jaan in se un se afsane
sab ajnabi hain yahan kaun kis ko pahchane
yahan se jald guzar jaao qafile vaalo
hain meri pyaas ke phunke hue ye virane
mire junun-e-parastish se tang aa gae log
suna hai band kiye ja rahe hain but-khane
jahan se pichhle pahar koi tishna-kam utha
vahin pe tode hain yaron ne aaj paimane
bahar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
hua hai hukm ki ‘kaifi’ ko sangsar karo
masih baithe hain chhup ke kahan khuda jaane