Add Poetry

Sunaa Karo Merii Jaa.N In Se Un

Poet: Kaifi Azmi By: Ahmed Arif, karachi

Sunaa Karo Merii Jaa.N In Se Un Se Afasaane
Sab Ajanabii Hai.N Yahaa.N Kaun Kis Ko Pahachaane

Yahaa.N Se Jald Guzar Jaao Qaafile Vaalo.N
Hai.N Merii Pyaas Ke Phuu.Nke Hue Ye Viiraane

Merii Junuun-E-Parastish Se Ta.Ng Aa Gaye Log
Sunaa Hai Ba.Nd Kiye Jaa Rahe Hai.N But-Khaane

Jahaa.N Se Pichhale Pahar Ko_Ii Tashnaa-Kaam Uthaa
Vahii.N Pe To.De Hai.N Yaaro.N Ne Aaj Paimaane

Bahaar Aaye To Meraa Salaam Kah Denaa
Mujhe To Aaj Talab Kar Liyaa Hai Seharaa Ne

Sivaa Hai Huqm Ki "Kaifi" Ko Sang-Saar Karo
Masiihaa Baithe Hai.N Chhup Ke Kahaa.N Khudaa Jaane

Rate it:
Views: 2085
16 Aug, 2012
Related Tags on Kaifi Azmi Poetry
Load More Tags
More Kaifi Azmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets