Tamaam Umar Ye Hi Sadma Rahega

PoetShamsul "ShamS" Submitted byShamsul Hasan
Text size

Tamaam Umar Ye Hi Sadma Rahega
Wo Mere Baad Ab Tanha Rahega

Shuru Tumne Jo Ki Hai Bewafaai
Shahr Mai Ab Yehi Majma Rahega

Chalo Hum Ghar Mai Apne Jaa Ke Bethein
Jo Hona Hai Wo Hota Rahega

Na Kar Ummeed Uske Lotne Ki
Youn Hi Raston Pe Kab Tak Betha Rahega

Yakeen Kar "Shams" Bhool Jaayega Wo Tujhko
Tu Agar Khat Usey Likhta Rahega

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied