Kuch Pal Zindagi Ke Basar Huey Hain Tanha Humse
Shab-e-Furqat Mein Lamhey Guzrey Hain Tanha Humse
Kaise Batlaon Unn Lamho’n Ki Veeraniya Tumhein
Shama Jalti Rahi Kisi Ki Yaad Mein Tanha Humse
Bachpan Se Jawani Ki Shadid Dhoop Mein
Kayee Khushyaa’n Bach Ke Nikli Tanha Humse
Gard Si Jama Rakhi Thi, Humne Maazi Ki Yaado’n Per
Kuch Aur Zakhmo Ki Dhool, Milne Aayee Tanha Humse
Judai Ke Manaazir Nashtar Chubhotey Hain Seeney Mein
Koi Ulfat Mein Juda Ho ke, Tadpa Hai Tanha Humse
Aankho’n Se Behtey Khoon, Khushk Ho Gaye Aankho’n Mein
Palko’n Ki Surkh Mehfil Bhi Veera’n Hai Tanha Humse
Taarikh Ke Panno Se Tut-tey Ek Ek Din Ki Qasam
Kitne Lamho Ka Kaarva’n Guzar Gaya Tanha Humse
Hum Kaha’n Se Aa Rahey They, Aur Ab Kaha’n Ja Rahey Hain
Umr-e-Tamaam Kat Gayee, Yu’n Hi Tanha Humse
Unn Ke Aansu Zanjeer Ki Tarah Pairo’n Mein Bandhey They
Rukhsat-e-Salam Bhi Na Ho Saka, Shakir Tanha Humse