Teri Gali Mein Tamasha Kiye Zamana Hua
phir is ke baad na aana hua na jaana hua
kuchh itna TuT ke chaha tha mere dil ne use
wo shaKHs meri murawwat mein bewafa na hua
hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalane ka hausla na hua
mere KHulus ki saiqal-gari bhi haar gai
wo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua
main zahr pita raha zindagi ke hathon se
ye aur baat hai mera badan hara na hua
shuur chahiye tartib-e-KHar-o-KHas ke liye
qafas ko toD ke rakkha to aashiyana hua
hamare ganw ki miTTi hi ret jaisi thi
ye ek raat ka sailab to bahana hua
kisi ke sath gain dil ki dhaDkanen 'qaisar'
phir is ke baad mohabbat ka hadisa na hua