Theek Hai Khud Ko Hum Badalte Hain
Shukriya Mashwaraat Ka, Chalte Hain
Us Ke Pehlu Se Lag Ke Chalte Hain
Hum Kahin Taalne Se Talte Hain
Main Usi Tarah To Behalta Hoon
Aur Sab Jis Tarah Behalte Hain
Ho Raha Hoon Main Kis Tarah Barbaad
Dekhne Waale Haath Malte Hain
Hai Woh Jaan Ab Har Ek Mehfil Ki
Hum Bhi Ab Ghar Se Kam Nikalte Hain
Kya Takkaluf Kare Yeh Kehne Mein
Jo Bhi Khush Hai Hum Uss Se Jalte Hain
Hai Us Se Door Ka Safar Darpesh
Hum Sanmbhle Nahin Sanmbhalte Hain
Hai Ajab Faaisle Ka Sehra Bhi
Chal Na Padiye To Paon Jalte Hain
Tum Bano Rang, Tum Bano Khushboo
Hum To Apne Sukhan Mein Dhalte Hain
Hum Koi Bad-Mua’amla To Nahin
Zakhm Khaate Hain, Zaher Ugalte Hain
Shaam Furqat Ki Lehlaha Uthi
Wo Hawa Hai Ke Zakhm Phalte Hain