Toota Huwa Taara
Text size
Pareshaan Ho Ke Meri Khaak Aakhir Dil Na Ban Jai
Jo Mushkil Ab Hai Yaa Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jai
Na Ker Dain Mujh Ko Majboor E Nawa Firdos Main Hoorain
Mera Soz E Daroon Phir Garmi E Mehfil Na Ban Jai
Banaya Ishq Ne Darya E Na Paida Karaan Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigeh Daari Mera Saahil Na Ban Jai
Arooje Aadm E Khaki Se Anjum Sehmay Jaatay Hain
Keh Ye Toota Huwa Taara Mah E Kaamil Na Ban Jai