Tu Apny Phool Se Honto Ko

Poet Submitted byZunaira
Text size

Tu Apny Phool Se Honto Ko Raygaan Mat Kar
Ager Wafa Ka Iradh Nahi Tu Haan Mat Kar

Tu Meri Shham Ki Palko Sey Roshni Mat Chheen
Jahan Charagh Jalay Wahan Dhuwan Mat Kar

Chhalak Raha Hai Tery Dil Ka Daard Chehry Sey
Chupa Chupa K Muhabbat Ko Daastan Mat Kar

Tu Jaatay Jaatay Na Dey Muj Ko Zindagi Ki Dua
Main Jee Sakoon Ga Tery Begair Ye Gumaan Mat Kar

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied