Tum Raat Ki Manad Tanha Ho

PoetSufyan Submitted byMinhal
Text size

Ho Raat Akeli Pichle Pehr
Or Chand Gagan Pe Aa Jaye

Tum Chand Ki Manind Tanha Ho
Ye Baat Tumhein Tarpa Jaye

Kuch Khawab Saja K Palko Pe
Tum Chand Se Batein Ker Lena

Hum Yaad Tumhein To Kerte Hain
Tum Yaad Humein B Ker Lena

Kuch Baat Na Ho Jab Aise Hi
Num Aankh Tumhari Ho Jaye

Tum Baat Kahein Pe Kerte Ho
Dil Or Kahein Pe Kho Jaye

Jazbat K Aise Aalam Mein
Muskan Labo Pe Bhar Lena

Hum Yad Tumhein To Karte Hain
Tum Yad Humein B Ker Lena

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied