Usay Meri Ab Parwah Nahi Hoti

PoetHaroon ur Rasheed uDas Submitted byHaroon ur Rasheed uDas
Text size

Usay Ab Mere Ansowon Ki Fikar Nahi Hoti
Khushyan Hun Ya uDasiya Usay Meri Fikar Nahi Hoti

Mehflain Hun Ya Tanhayon Ki Duniya
Bhala Kis Kalaam Main Tu Meho E Zikar Nahi Hoti

Usay Ata Tha Apne Pyar Ka Yaqeen Dilaana
Warna Har Ek Ki Bat Main Aisi Asar Nahi Hoti

Dard O Ashak O Alam Main Bi Samjha Usay Meharbaan
Warna Ankhain Kabi Aise Zalim Ki Tashakur Nahi Hoti

Main Ne Ek Bar Nahi, Bar Bar Manaya Usay
Par Us Ka Dil Hai k Pather, Koi Bat Asar Nahi Hoti

Afsoos K Mumkun Na Hua Tera Pyar Haroon
Par Ye Bi Such Hai K Muhabbat Mang Kar Nahi Hoti

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied