Usay Waqt Kahan Hai

PoetJ Submitted byJunaid Taj
Text size

Masroof Hai Din Raat Usay Waqt Kahan Hai
Woh Mujhse Kare Baat Usay Waqt Kahan Hai

Betabi-E-Dil Ka Usay Andaza Nahi Hai
Samjhe Mere Jazbaat Usay Waqt Kahan Hai

Woh Pounchay Meri Aankh Say Behtey Howe Aanso
Ay Rang-E-Barsaat Usay Waqt Kahan Hai

Bhoolay Say Hi Woh Pochne Aajaye Mera Haal
Ay Gardesh-E-Halaat Usay Waqt Kahan Hai

Moujon Mein Taraptay Howe Mein Doob Raha Hon
Thamay Woh Mera Haath Usay Waqt Kahan Hai

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied