✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Smile Pain
Search
Add Poetry
Poetries by Smile Pain
Khawab Tow Sub K Hotay Hain
Yahan Apni Apni Bari Per
Sub Hansty Hain Sub Roty Hain
Dil To Sub Hi Ka Hota Hy
Aur Dukh Bhi Sub K Hoty Hain
Kuch Ashk Dilon Per Girtay Hain
Kuch Mati Main Mil Jaty Hain
Kuch Lafz Ada Ho Jatay Hain
Kuch Honton Main Sil Jatay Hain.
Mana K Adhoray Rahtay Hain
Per Khawab Tow Sub K Hotay Hain
Kuch Kho Ker B Pa Latay Hain
Kuch Pa Ker B Kho Jatay Hain
Yahan Apni Apni Bari Per
Sub Hansty Hain Sub Roty Hain
Smile Pain
Copy
Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein
Hamko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa
Jis Ki Galion Mein Mhabat Ka Kuch Hisab Na Tha
Woh Jo Rehte Thay Mere Sath Hamesha Din Bhar
Un K Mazhab Mein Wafaon Ka Koi Baab Na Tha
Wo Jo Ankhon Mein Mhabat Ko Liye Phirte Thay
Un K Dil Mein Thee Woh Nafrat K Kuch Hisab Na Tha
Mein Ne Jisko B Musebat Mein Maseha Jana
Jo Diya Usne Bara Us Se Kuch Azab Na Tha
Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein
Mgr Wahan Pe To Aisa Koi Rewaj Na Tha
Smile Pain
Copy
Ek Roz Koi To Soche Ga
Ek Roz Koi To Soche Ga
Ak Shaqs Tha Pagal Pagal Sa
Pr Baatein Theek Hi Krta Tha
Barish Ki Trah Pur'shor Na Tha
Darya Ki Trah Chup Chap Rehta Tha
Aur Jin Se Pyar Wo Krta Tha
Judai Bhi Ussi Ki Sehta Tha
Kyun Jeete Jee Darghor Hua
Kis Rang Ne Usko Marr Diya
Ek Roz Koi To Soche Ga
Aur Pehron Beth K Roye Ga
Ek Roz Koi To Soche Ga
Smile Pain
Copy
میں دوستی کے عجب موسموں میں رہتا ہوں
میں دوستی کے عجب موسموں میں رہتا ہوں
کبھی دعاؤں کبھی سازشوں میں رہتا ہوں
جو تم ذرا سا بھی بدلے تو جان لے لو گے
میں کچھ دنوں سے عجب واہموں میں رہتا ہوں
میں جس طرح سے کبھی دشمنوں میں رہتا تھا
اُسی طرح سے ابھی دوستوں میں رہتا ہوں
قدم قدم پہ ہیں بکھرے ہوئے نقوش میرے
میں تیرے شہر کے سب راستوں میں رہتا ہوں
کیا ہے فیصلہ جب سے چراغ بننے کا
میں اعتماد سے اب آندھیوں میں رہتا ہوں
تمہارے بعد یہ دن تو گزر ہی جاتا ہے
میں شب کو دیر تلک آنسوؤں میں رہتا ہوں
Smile Pain
Copy
ہاتھ چھوٹیں بھی تو رشتے نہیں چھوڑا کرتے
ہاتھ چُھوٹیں بھی تو رشتے نہیں چھوڑا کرتے
وقت کی شاخ سے لمحے نہیں توڑا کرتے
جس کی آواز میں سِلوٹ ہو، نگاہوں میں شِکن
ایسی تصویر کے ٹکڑے نہیں جوڑا کرتے
لگ کے ساحل سے جو بہتا ہے اُسے بہنے دو
ایسے دریا کا کبھی رُخ نہیں موڑا کرتے
جاگنے پر بھی نہیں آنکھ سے گرتی کرچیں
اس طرح خوابوں سے آنکھیں نہیں پھوڑا کرتے
شہد جینے کا مِلا کرتا ہے تھوڑا تھوڑا
جانے والوں کیلئے دِل نہیں تھوڑا کرتے
جمع ہم ہوتے ہیں، تقیسم بھی ہو جاتے ہیں
ہم تو تفریق کے ہندسے نہیں جوڑا کرتے
جا کے کہسار سے سر مارو کہ آواز تو ہو
خستہ دِیواروں سے ماتھا نہیں پھوڑا کرتے
Smile Pain
Copy
محبت کو بھلانا چاہیے تھا
محبت کو بھلانا چاہیے تھا
مجھے جی کر دکھانا چاہیے تھا
مجھے تو ساتھ اس کا بھی بہت تھا
اسے سارا زمانہ چاہیے تھا
پرندہ اس لیے بے کل تھا اتنا
اسے بھی آشیانہ چاہیے تھا
تم اُس کے بن ادھورے ہو گئے ہو
تمہیں اُس کو بتانا چاہیے تھا
بہت پھرتا رہا تھا در بدر میں
مجھے بھی اک ٹھکانہ چاہیے تھا
چراغاں ہو رہا تھا شہر بھر میں
ہمیں بھی دل جلانا چاہیے تھا
Smile Pain
Copy
Ek Thi Larki Meri Saheli
Ek Thi Larki Meri Saheli
Saath Pali Aur Saath Hi Kheli
Phoolon Jaise Gaal The Uske
Resham Jaise Baal The Uske
Ham Usko Gudiya Kehte The
Rangon Ki Pudiya Kehte The
Ek Din Usne Bholepan Se
Poochha Ye Papa Se Ja Ke
Ab Main Khush Rehti Hu Jaise
Sada Hi Kiya Khush Rahungi Aaise
Papa Bole Meri Bachi
Baat Bataun Tujh Ko Sachhi
Kal Ki Baat Na Koi Jaane
Kehte Hain Ye Sabhi Siyaane
Ye Mat Socho Kal Kiya Hoga
Jo Bhi Hoga Acha Hoga
Bachpan Beeta Aai Jawaani
Larki Ban Gayi Roop Ki Raani
College Mein Ithalaati Phirti
Bal Khaati Lehraati Phirti
Ek Sundar Chanchal Larke Ne
Chhup-Chhup Kar Chupke-Chupke Se
Larki Ki Tasveer Banai
Aur Ye Keh Kar Use Dikhai
Is Par Apna Naam To Likh Do
Chota Sa Pegham To Likh Do
Larki Pehle To Sharamaai
Phir Man Hi Man Mein Muskaai
Ik Din Usne Bholepan Se
Poocha Ye Apne Saajan Se
Ab Main Khush Rehti Hu Jaise
Sada Hi Kiya Khush Rahungi Aaise
Usne Kaha Ke Meri Raani
Itni Baat Hai Maine Jaani
Kal Ki Baat Na Koi Jaane
Kehte Hain Ye Sabhi Siyaane
Ye Mat Socho Kal Kiya Hoga
Jo Bhi Hoga Acha Hoga
Ik Paradesi Door Se Aaya
Larki Par Haq Apna Jataaya
Ghar Waalon Ne Haami Bhar Di
Pardesi Ki Marzi Kar Di
Piyaar Ke Waade Huve Na Poore
Reh Gae Saare Khwaab Adhoore
Chor Ke Saathi Aur Hamsae
Chal Di Larki Des Parae
Do Banhon Ke Haar Ne Roka
Vadon Ki Deewaar Ne Roka
Ghaayal Dil Ka Piyar Pukara
Anchal Ka Har Taar Pukara
Par Larki Kuch Munh Se Na Boli
Patthar Ban Kar Gair Ki Ho Li
Ab Gumsum Hairaan Si Hai Wo
Mujhse Bhi Anjaan Si Hai Wo
Jab Bhi Dekho Chup Rehti Hai
Kehti Hai To Ye Kehti Hai
Kal Ki Baat Na Koi Jaane
Kehte Hain Ye Sabhi Siyaane
Ye Mat Socho Kal Kiya Hoga
Jo Bhi Hoga Acha Hoga
Smile Pain
Copy
Ek Masoom Si Larki Thi
Ek Pyar Say Bhara Dil Tha
Jis K Armano Ko Palko Par Sajaya Karti Thi
Ek Masoom Si Larki Thi
Mohabbat K Khawab Dekha Karti Thi
Ek Chahra Bana Kar Khayalon May
Phir Us Chahray Ko Bheer May Dhoonda Karti Thi
Kaisi Pagal Larki Thi
Ek Khayal Ko Dhoonda Karti Thi
Aksar Banati Rait Kay Mahal Sahilo Par
Phir Un Mahlon May Ghar Apna Basaya Karti Thi
Kaisi Nadan Larki Thi
Sahil Ki Matti Say Ghar Banaya Karti Thi
Kai Bar Dekha Usay Phoolon Say Batain Kartay
Kuch Kah Kar Un K Kaano May
Khud Hi Sharmaya Karti Thi
Kaisi Ek Larki Thi
Phoolon Say Bi Sharmaya Karti Thi
Likh Kar Hatheli Par Koi Nam Humesha
Phir Us Nam Ko Mitaya Karti Thi
Shayed Na Samajh Hi Thi
Dil Par Likha Tha Jo
Usay Hathon Say Mitaya Karti Thi
Janay Kahan Kho Gay Woh
Ab To Aksar Ainay May Dhoonda Karti Hun
Woh Larki Jo Aina Dekh Be Wajah Muskraya Karti Thi
Bana Kar Ajeeb Say Chahray
Sub Ko Hansaya Karti Thi
Bari Ajeeb Larki Thi
Har Kisi Ko Sataya Karti Thi
Mohabbat Nay Hi Tor Diye
Us Kay Sub Armaan
Jinhay Woh Baray Pyar Say
Palkon Par Sajaya Karti Yhi
Shahyed Dunya Bi Bhool Jaye Usay
Par Waqt Na Bhula Paye Ga
K Ek Masoom Si Larki Thi
Khawabo K Shahar May Raha Karti Thi
Smile Pain
Copy
Wo Aik Larki
Udas Logon Ki Bastiyon Mein
Wo Titliyon Ko Talash Karti
Wo Aik Larki
Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhein
Jo Karti Rehti Hazaar Baatein
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi
Wo Aik Larki
Wo Chahaton K Nisaab Jane
Wo Janti Hai Ehad Nibhane
Wo Dost Achi Wo Achi Sathi
Wo Aik Larki
Wo Jhoote Logon Ko Sacha Samjhe
Wo Sari Duniya Ko Acha Samjhe
Wo Kitni Saada Si Kitni Pagli
Wo Aik Larki
Wo Aik Larki
Smile Pain
Copy
میں اگر اک لڑکی ہوتی
میں اگر اک لڑکی ہوتی
کیا میرے سنگ بھی ایسا ہوتا
جیسا اکثر ہوتا ہے
کیا جنم پر میرے بھی
مرجھا سے جاتے چہرے ایسے
سانپ نے سونگھ لیا ہو جیسے
روکھی سوکھی کھا کر بھی میں
بھوکی پیاسی رہ کر بھی میں
ہر اک ستم سہ کر بھی میں
ہوتی اکثر شاکر سی میں
بھیا سب کو پیارا ہوتا
سب کی آنکھ کا تارا ہوتا
کوئی کوئی سپنا میرا پورا ہوتا
اس کا کوئی نہ ادھورا ہوتا
جب بھی میں اکیلی ہوتی
ماں میری سہیلی ہوتی
اس کے سنگ میں کھیلی ہوتی
میں فقط ماں سے کہتی
مشکل جب پہیلی ہوتی
مسافت طے میں ایسے کرتی
ساون میں اک بیل کی مانند
بن رکے اک ریل کی
بڑھتے ہوئے میرے قد کے ساتھ
دیواریں میرے گھر کی بھی
مجھ سے دو گز اونچی ہوتیں
جب میں گھر سے باہر نکلتی
میرے ابو یا بھیا باہر میرے محافظ ہوتے
لمحہ بھر بھی مجھ کو نہ کبھی میرے حوالے کرتے
جب میں گھر سے باہر ہوتی
کئی درندہ نظریں میرا
دور تلک وہ پیچھا کرتیں
جب میں سولہویں سال میں ہوتی
میرے خوابوں میں بھی اک
ان دیکھا شہزادہ ہوتا
اس سے میرا کوئی وعدہ ہوتا
پھر ہوتا کچھ اس طرح کہ
ہارتی رسم و رواج سے میں
یا بغاوت کرتی سماج سے میں
پھر ہوتا کچھ اس طرح کہ
کوئی ان چاہا آتا
ڈولی میں مجھ کو لے جاتا
دل میرا کہیں اور ہوتا اور
جسم کسی کے قبضہ میں
گھٹ گھٹ کر میں مرتی ہوتی
میں اگر اک لڑکی ہوتی
Smile Pain
Copy
Kismat Kon Likhata Hai
Kisi Aur Zindge Ka Is Main Hissa Hai
Ek Umr Sa Barha Hamara Rishta Hai
Dil Ko Ek Baar Ankhen To Deejiye
Zindgee Se Aage B Kuch Dikta Hai
Main Jo B Geet Kahgaz Pe Utaroon
Koi Aa Ke Wahan Tera Nam Likhata Hai
Main Likhana Kis Tarah Chor Sakta Hoon
Ye Ayeena Hai Too Jis Main Dikhata Hai
Log Kahate Hain Us Ko Kisi Ne Nahee Dekha
Too Muskraye To Mujhe Woh Dikhata Hai
Tera Do Lamho Ka Sath Mila To Sab Mil Gaya
Ab Kyon Poochen Ye Kismat Kon Likhata Hai
Smile Pain
Copy
Kuch Dair Tu Lagti Hy
Yaadon Ko Bhulaney Main Kuch Dair Tu Lagti Hy
Aankhon Ko Sulaney Main Kuch Dair Tu Lagti Hy
Kisi Shaks Ko Bhula Dena Itna Aasan Nahi Hota
Dil Ko Samjhaney Main Kuch Dair Tu Lagti Hy
Bhari Mehfil Main Jab Koi Achanak Yaad Ajaye
Phir Ashq Chupaney Main Kuch Dair Tu Lagti Hy
Jo Shaks Jaan Se B Pyaara Ho Achanak Door Ho Jaye
Dil Ko Yaqeen Dilaney Main Kuch Dair Tu Lagti Hy
Smile Pain
Copy
Lamhon Main Toot Jate Hain Saloun K Silsilay
Jaaen Gain Door Tak Jo Khayaloun K Silsilay
Khud Un Se Aa Milain Gain Ujaloun K Silsilay
Kuch Es Liye Bhe Ho Gaey Gosha-Nashen Ham
Had Se He Barh Chale Thay Sawaloun K Silsilay
Fursat Nahi K Pursishe Ehwal Kar Sakain
Ham Jaante Hain Bholnay Walon K Silsilay
Rah-E-Wafa Kathin Hai Sambhal Kar Chalo Yahan
Lamhon Main Toot Jate Hain Saloun K Silsilay
Duniya Teray Faraib Main Anay K Ham Nahi
Ham Ne Bohat Parhay Hain Rasaloun K Silsilay
Muddat K Baad Aaey Hain Ghar Ko Jo Lout Kar
Paaey Hain Muntazir Wohi Jaloun K Silsilay
Tay Jab Talak Na Ho Ye Bayaban-E-Zindagi
Pairoun K Saath Saath Hain Chaloun K Silsilay
Smile Pain
Copy
Mujhe Soney Nahin Deta
Mujhe Wo Door Apnay Se Kabhi Hone Nahin Deta
Wo Meri Neend Ka Dushman Mujhe Soney Nahin Deta
Wo Jis Se Piyar Hota Hai Wohi Humko Rulata Hai
Jo Hum Se Piyar Karta Hai Hamain Roney Nahin Deta
Yeh Sach Hai Main Zamanay Se Alag Gum Sum Sa Rehta Hu'n
Magar Main Aapko Ankho'n Se Gum Hone Nahin Deta
Bicharte Waqt, Tumne Yeh Kaha Tha Huns Ke Ji Lena
Tumhara Be Raham Wada Mujhe Ronay Nahin Deta
Ajub Ek Kash Makash Main Usney Mujhko Daal Rakha Hai
Wo Mera Hai Magar Apna Mujhe Honey Nahin Deta
Zamaney Se Alag Sub Se Chupa Kar Dil Main Rakha Hai
Khazana Aapki Yado'n Ka Main Khoney Nahin Deta
Khuda Ne Kuch Na Kuch Mutrib Hamaray Bus Main Rakha Hai
Magar Wo Apni Marzi Ke Bina Honay Nahin Deta
Smile Pain
Copy
Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hain
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Hain
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Us Ke Ishq Mein Bheeg K Ham Ko Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Smile Pain
Copy
Meri saadgi Mera Jurm Hai
Yehan Chahton Ka Sila Nahi
Yehan Dosti Ka Maza Nahi
Yehan Jane Kaise Hawa Chali
Rahi Doston Mein Wafa Nahi
Yehan Jal Gaya Mera Ashiyan
Abhi Baadlon Ko Pata Nahi
Uske Darr Pe Dastak De Sakoon
Yeh Haq Usne Mujhe Diya Nahi
Mein Raahi Hoon Raah E Umeed Ka
Mujhe Manzilon Ka Pata Nahi
Bebass Hoon Jahan Mein Itna
Jaise Mera Koi Khuda Nahi
Meri Saadgi Mera Jurm Hai
Koi Aur Meri Khata Nahi
Smile Pain
Copy
Mitti K Ghar
Mujhay Miti K Ghar Bananay Ka Shoq Tha
Ussay Ashianay Giranay Ka Shoq Tha
Main Khud Say Rooth Jata Hoo Aksar Is Liay
Mujhay Rothay Huway Log Mananay Ka Shoq Tha
Usay Waadon Ki Pasdari Pasand Na Thi
Lekin Mujhay Ahad Nibhanay Ka Shoq Tha
Main Masroof Tha Tanhayoon Ki Talsh Main
Usay Logoon Say Milnay Milanay Ka Shoq Tha
Woh Bewafa Tha To Ismain Hirat Ki Baat Kiya
Mujhay B Bewafa Say Dil Laganay Ka Shoq Tha
Smile Pain
Copy
Nadan Larki
Kitni Nadan Thi Woo Larki
Jo Khiyaloon Ki Duniya May Basti Thi
Soochon Kay Maskan May Rehti Thi
Wo Weraan Yadoon Kay Daman May Bandhi Rehti Thi
Kitni Nadan Thi Woo Larki
Jo Kitaboon May Gum Rehti Thi
Afsanoo May Apna Kirdar Talashti Thi
Kuch Na Panay Ki Soorat May Udass Si Ho Jati Thi
Kitni Nadan Thi Woo Larki
Jo Apnay Hi Khiyaloon May Uljhi Uljhi Rehti Thi
Janey Kiya Soochti Par Kuch Bhi Na Keh Pati Thi
Duniya Kay Hangamoo Say Parey Tanhaie May Rehti Thi
Kitni Nadan Thi Woo Larki
Jo Apnay Ird Gird Ki Duniya Say Ghabraie Hui Rehti Thi
Aur Apnay Wajood Ko Kud Hi Dudsafi Dena Chahti Thi
Woo Sab Rastoon Pay Jati Thi Aur Mur Kay Wapas Aati Thi
Kitni Nadan Thi Woo Larki
Jo Meray DIL May Rehti Thi
Smile Pain
Copy
Muhabbaton Main
Muhabbaton Main Har Ek Lamha Wisaal Hoga, Yeh Thay Huwa Tha
Bichar K Bhi Ek Dusrey Ka Khayal Hoga, Ye Thay Huwa Tha
Yeh Kya K Saans Ukhar Gaii Hain Safar K Aghaaz Se Yaaron
Koi Bhi Thak Kar Na Raastey Main Nidhaal Hoga, Yeh Thay Huwa Tha
Wahi Huwa Na, Badaltey Mosamon Main Tumney Hamko Bhula Dia
Koi Bhi Rut Ho, Na Chahaton Ko Zawal Hoga, Yeh Thay Huwa Tha
Juda Ho Tou Kya Huwa Phir Bhi Tou Dastoor -E- Zindagi Hai
Judaiyon Main Na Qurbaton Ka Malal Hoga, Yeh Thay Huwa Tha
Smile Pain
Copy
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Key Jab Bhi Shaam Dhalti Hai
Hijr Main Jaan Jalti Hai
Tum Apni Raat Ka Aksar
Sukoon Barbaad Krtay Ho
Suna Hai Yad Krtay Ho
Jab Panchi Loat Ate Hain
Ghamo Ke Geet Gate Hain
Suno! Tum Lout Aao Na
Yehi Faryad Krte Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Sitaare Jab Falak Pe Jagmagate Hain
Woh Beetay Hoe Pal Khob Rulate Hain
Tum Us Dam Apni Aankhon Main
Mujhe Aabad Krtay Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Mujhe Tum Yaad Krtay Ho
Smile Pain
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets