wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad
dad-e-sukhan mili mujhe tark-e-sukhan ke baad
divana-var chand se aage nikal gae
thahra na dil kahin bhi tiri anjuman ke baad
honton ko si ke dekhiye pachhtaiyega aap
hangame jaag uthte hain aksar ghutan ke baad
ghurbat ki thandi chhanv men yaad aai us ki dhuup
qadr-e-vatan hui hamen tark-e-vatan ke baad
elan-e-haq men khatra-e-dar-o-rasan to hai
lekin saval ye hai ki dar-o-rasan ke baad
insan ki khvahishon ki koi intiha nahin
do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad