Woh Kitni Achi Larki Thi
Poet: Khaaki By: Khaaki, KarachiWoh Kitni Achi Larki Thi
Tum Jissey Mohabbat Karte They
Kuch Bholi Si Kuch Chanchal Si
Tum Jissey Mohabbat Karte They
Woh Bolti Thi Tum Suntey They
Tum Suntey The Aur Hanstey They
Woh Kitni Achi Larki Thi
Tum Jissey Mohabbat Karte They
Tum Usko Sataya Kartey The
Woh Tumse Khafa Hojati Thi
Tum Usko Manaya Kartey The
Kuch Nazmein Sunaya Kartey The
Kuch Raaz Bataya Kartey The
Woh Kitni Achi Larki Thi
Jab Door Kahin Tum Jaatey The
Woh Aankhain Nam Karleti Thi
Maathey Pe Shikan Le Aati Thi
Honton Se Bhaley Kuch Na Boley
Aankhon Se Hi Sab Keh Jaati Thi
Woh Deep Jalaya Karti Thi
Darwazey Ki Mundairon Pe
Woh Sapney Dekha Karti Thi
Roshan Din Ke Ujalon Mein
Woh Raat Ko Roya Karti Thi
Woh Khat Jab Tumko Likhti Thi
Sab Acha Hai Yeh Kehti Thi
Woh Dil Ka Haal Na Kehti Thi
Chup Rehti Thi Sab Sehti Thi
Aur Khat Ke Aakhir Mein Aksar
Ek Dil Ko Banaya Karti Thi
Tum Khat Ko Poora Parhtey The
Phir Parhtey The Phir Parhtey The
Har Ek Lafz Ko Chotey The
Har Ek Ibarat Peetay The
Aur Khat Ke Koney Ko Apney
Honton Se Lagaya Kartey The
Aankhon Pe Tikaya Kartey The
Maathey Pe Sajaya Karte The
Seenay Se Lagaya Kartey The
Ek Roz Achanak Aisa Hua
Koi Khat Na Tumhey Mausool Hua
Koi Dil Na Tumhare Seenay Se Lagney Paya Sajney Paya
Koi Ek Ibarat Bhi Na Tumhe Peenay Ko Mili Choney Ko Mili
Tum Rakht E Safar Ko Baandh Ke Phir
Manzil Ko Chalye Aur Chaltey Gaye
Jab Pohanchay Tu Maloom Hua
Jo Aankhain Nam Karleti Thi
Jo Chanchal Thi Jo Saada Thi
Jo Tumse Rotha Karti Thi
Jo Dheemay Dheemay Lehjay Se
Dil Mein Ek Aag Lagati Thi
Jo Deep Jalaya Karti Thi
Jo Aas Lagaya Karti Thi
Jo Khat Ke Koney Pe Aksar
Ek Dil Ko Banaya Karti Thi
Woh Larki Tumko Chorr Chali
Woh Larki Yaadon Ko Saari
Ek Pal Mein Bhula Kar Chorr Chali
Tum Kitney Pagal Larke The
Tum Ussey Mohabbat Karte The
Tum Kitney Pagal Larke The
Tum Ussey Mohabbat Karte The
ایک چہرے سے تھا روشن دلِ ویران ہمارا
وہ جو بچھڑا تو اُجڑنے لگے منظر سارے
جیسے قسمت سے نکل جائے نگہبان ہمارا
اس کی یادوں کے چراغوں سے ابھی تک روشن
رات کے وقت بھی لگتا ہے بیابان ہمارا
ہم نے ہر درد کو خاموشی میں پالا برسوں
لوگ سمجھا کیے آباد ہے ایوان ہمارا
اور بدلے میں فقط درد ہی سنبھالا ہے
ہر الزام کی بارش میں اکیلا ہی رہا
میں نے سچ بول کے خود کو ہی اُچھالا ہے
جس کو ہم نے دل و جاں سے بھی عزیز رکھا
اُس نے ہر لمحہ میری مخالفت میں نکالا ہے
ہر گناہ کیا گیا مجھ سے ہی منسوب
میں نے حالات کو خاموشی سے ٹالا ہے
مایوسی نے مجھے توڑ کے دیکھا ہے مگر
میرے حصّے میں فقط صبر کا پیالہ ہے
خواب آنکھوں سے اڑے، نیند بھی روٹھ گئی
اے زندگی، تونے مجھے کس روگ میں ڈالا ہے
سلمانؔ یہ ہنر نہ آتا تو کب کا مر جاتا
میں نے ہر زخم کو راحت میں ڈھالا ہے






