Yaad Aati Hai Shayari Urdu

PoetBilal Submitted byBilal Shah
Text size

Aaj Uski Yaad Ne Humein Tarpaya Bahut
Aaj Na Chahte Hue Bhi Woh Yaad Aaya Bahut

Uske Baad Toh Jaise Wehshaton Se Dosti Ho Gayee
Phir Kyun Aaj Tanhaiyon Ne Daraya Bahut

Woh Mera Tha Mera Hai Mera Rahega
Hum Ne Aise Khayalon Se Khud Ko Behlaya Bahut

Shamma Ke Jalne Par Hum Afsoos Karein Kyun
Hum Ne Bhi Manind Shamma Khud Ko Jalaya Bahut

Hum Ne Jis Kisi Ko Bhi Humdard Samjha Bilal
Woh Hamare Dukh Pe Najane Kyun Muskuraya Bahut

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied