Khushbu Mahekti Hai Tehreer Se Teri
Alfaz Phool Ban Gaye Hain Yaado’n Se Teri
Badi Muddat Se Tarasha Tha Khushnuma Heerey Ko
Hatho’n Ne Wafa Dikhlayee Yaado’n Se Teri
Qareeb Tha Sehra, Magar Door Tha Aashya’n Mera
Taqdeer Mein Zawal Bhi Aaya Yaado’n Se Teri
Be-Shumar Dekhey Nasheb-o-Faraz Tanha Zindagi Mein
Maazi Ki Galtiya’n Bhi Nazar Aayee Yaado’n Se Teri
Ab Tak To Andhera Tha, Na Jane Saher Kab Hogi
Nigahe’n Shab-e-Muntazir Ho Gayee’n Yaado’n Se Teri
Darare’n Padh Gayee’n Awaaz Mein, Aye Mere Hum-Nawa
Saanse’n Bhi Ruk Ruk Ke Chalne Lagee’n Yaado’n Se Teri
Hadsey Muqeem Ho Gaye, Be-khuaf Ma’ashrey Mein
Dehleez Pe Dastak Bhi Sunayee Di Yaado’n Se Teri
Daur-e-Faani Mein Shakir Ko, Shayad Hi Koi Yaad Rakhey
Ulfat Ke Kalam To Zinda Rahenge Yaado’n Se Teri