Ye Jelta Hoa Gher Kis Ka Hai.

Poetshazia mehar Submitted byshazia mehar
Text size

Teb Se Ab Tek Shore Bepa Hai
Ye Jelta Hoa Gher Kis Ka Hai

Khon Bheri Sub Divaarien Hain
Kis Ne Apna Ser Phora Hai

Besti K Sub Log Kehan Hain
Keun Itna Senata Sa Hai

Rote Rote So Gey Bechy
Baiwa K Gher Phir Faaqa Hai

Piyaasi Dherty Paani Maangy
Deryaaon Ne Rukh Bedla Hai

Bol Rehi Hai Khamoshi B
Us Ki Aankhon Mein Jezba Hai

Kis Gher Ka Hai Noor Mehar Jo
Resty Mein Dam Tor Reha Hai
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied