Ye Mizaj_E_Yaar Ko Kiya Huwa, Unhein Mujh Se Piyar Hai Aaj Kal.

Poet Submitted byRainy Eyes
Text size

Ye Mizaj_E_Yaar Ko Kiya Huwa, Unhein Mujh Se Piyar Hai Aaj Kal
Meri Justaju Meri Guftagu, Mera Intzar Hai Aaj Kal

Wo Mere Khatoot Nikalna, Kabhi Dekhna Kabhi Choomna
Ye Mashgala Yahi Silsla, Yahi Karoaar Hai Aaj Kal

Isay Qatal Kar, Usay Qatal Kar, Tujhe Saat Khoon Maaf Hain
Teri Saltnat, Tera Dabdaba, Tera Iqtadar Hai Aaj Kal

Are Kaif Kal To Too Rind Tha, Mere Yaar Tujh Ko Kiya Huwa
Barra Mazhabi, Barra Paarsa, Barra Deendar Hai Aaj Kal

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied