Yun Bari Der Se Paimana Liye Baitha Hun
koi dekhe to ye samjhe ki piye baiTha hun
aaKHiri naw na aai to kahan jaunga
sham se par utarne ke liye baiTha hun
mujh ko malum hai sach zahr lage hai sab ko
bol sakta hun magar honT siye baiTha hun
log bhi ab mere darwaze pe kam aate hain
main bhi kuchh soch ke zanjir diye baiTha hun
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
kam se kam ret se aankhen to bachengi 'qaisar'
main hawaon ki taraf piTh kiye baiTha hun