Aankho Mein Basey Khwabon Ki Raushan Ta’abeer Aapki Zia Se Hai
Lekin Us Ta’abeer Se Jalwa Hoti Ek Tadbeer Aapki Zia Se Hai
Meri Saanso Se Aati Mahek Aapki Saanso Ki Hai
Ulfat Ke Saarey Paigham Wabasta Aapki Zia Se Hai
Har Shae Mayassar Ho, Ye Zaruri Nahi Duniya Ke Is Bazaar Mein
Andherey Raaston Per Khushyan Mili Aapki Zia Se Hai
Qadam Jab Bhi Dag-magane Lagey Zindagi Ki Raah Mein
Hauslon Ka Parcham Haathon Mein Aaya Aapki Zia Se Hai
Gumnaam Aandheron Ko Cheer De, Wo Quwwat Hai Usmein
Veeran Zindagi Mein Aayee Zeenat Aapki Zia Se Hai
Maut Ke Khaufnak Chehre, Kayee Bar Aankho Se Guzar Gaye
Lekin Aayen-e-Hayat Mein, Nazar Aati Tasveer Aapki Zia Se Hai
Humne Badi Faiyazi Se Ehl-e-Chaman Ki Shaakhon Ko Seencha Hai
Lekin Gulshan Mein Khiley, Phoolon Ki Taazgi Aapki Zia Se Hai
Waqt Ka Har Lamha Mutthi Mein Aaye, Ye Mumkin Nahi Shakir
Lekin Yaadon Ke Qaaflon Ka Saath To Aapki Zia Se Hai