Sub'ha Se Dekhiye Ab Shaam Hui Jaati Hae
Apni Tadbeer To Naakaam Hui Jaati Hae
Koi Batlaaye Ke Aakhir Hae Khata Kya Maeri
Zindagi Bas Yun Hi Badnaam Hui Jaati Hae
Khof Aata Hae Mujhe Dekh Ke Khilqat Ka Hujoom
Maeri Hasti Hae Ke Gumnaam Hui Jaati Hae
Maeri Taqdeer Na Bhoole Se Sanwar Jaaye Kabhi
Koshishen Un Ki Saranjaam Hui Jaati Hae
Ranj O Gham Itne Sahe, Ab Yeh He Aalam Apna
Ulfat E Gardish E Ayyaam Hui Jaati Hae
Naatawaan Jism Ko Ek Roz Yeh Ehsaas Hua
Saans Bhi Taalib E Aaraam Hui Jaati Hae
Log Waaqif Haen Haqeeqat Se To Khaamosh Haen Kyon
Meri Ruswaai Sar E Aam Hui Jaati Hae
Ibn E Yusuf Tere Haathon Men Bacha Hi Kya Hae
Aek Izzat Thi, Woh Neelam Hui Jaati Hae