Add Poetry

Hazaroon Khuwaishen

Poet: Ghalib By: Kinza, karachi

Hazaaron Khwahishen Aisi Ke Har Khwahish Pe Dum Nikle
Bahot Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kam Nikle

Daray Kyon Mera Qaatil Kya Rahega Us Ki Gardan Par
Voh Khoon Jo Chashm-E-Tar Se Umr Bhar Yoon Dam-Ba-Dam Nikle

Nikalna Khuld Se Aadam Ka Soonte Aaye Hain Lekin
Bahot Be-Aabru Hokar Tere Kooche Se Hum Nikle

Bharam Khul Jaaye Zaalim Teri Qaamat Ki Daraazi Ka
Agar Is Tarahe Par Pech-O-Kham Ka Pech-O-Kham Nikle

Magar Likhvaaye Koi Usko Khat To Hum Se Likhvaaye
Hui Subaha Aur Ghar Se Kaan Par Rakh Kar Qalam Nikle

Hui Is Daur Mein Mansoob Mujh Se Baada Aashaami
Phir Aaya Voh Zamaana Jo Jahaan Mein Jaam-E-Jaam Nikle

Hui Jin Se Tavaqqa Khastagi Ki Daad Paane Ki
Voh Hum Se Bhi Zyaada Khasta E Tegh E Sitam Nikle

Mahobbat Mein Nahin Hai Farq Jeenay Aur Marnay Ka
Usi Ko Dekh Kar Jeetay Hain Jis Kaafir Pe Dam Nikle

Zara Kar Jor Seene Par Ki Teer-E-Pursitam Nikle
Jo Wo Nikle To Dil Nikle Jo Dil Nikle To Dam Nikle

Khuda Ke Vaaste Pardaah Na Kaabe Se Uthaa Zaalim
Kaheen Aisa Na Ho Yaan Bhi Wahi Kaafir Sanam Nikle

Kahaan Maikhane Ka Darwaaza Ghalib Aur Kahaan Vaaiz
Par Itna Jaantay Hain Kal Voh Jaata Tha Ke Hum Nikle

Rate it:
Views: 2291
11 Aug, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets