Add Poetry

آنسو

Poet: Mani Shah By: Syed Imran Raza, sargodha

Dukh Anmol Hoty Hain
Kudrat Ki Wadieat Hoty Hain

Kabi Kuch Dy K Jaty Hain
Kabi Sab Cheen Laty Hain

Kabi Bychain Karty Hain
Kabi Jeena Sikhaty Hian

Kabi Banty Hain Jab Aansu
Umar Bhar Lahu Rulaty Hain

Kabi Lab Ki Hansi Ban Kar
Naie Dunia Sajaty Hain

Kabi Meethi Kasak Ban Kar
Anjani Khalash Ban Kar
Makeen-E-Dil Ye Banty Hain

Kisi Surat Nhi Mitty
Jo In Sy Door Bhago To
Kahin Janay Nahi Daity

Na Zinda Rehny Daity Hain
Na Ye Azad Karty Hain

Nahi Jis Ki Dawa Koi
Ye Aisa Dard Hoty Hain

Magar Ye B Haqeqat Hay
Har Ik Ko To Nhi Miltay

Bary Nayab Hoty Hain
Dukh Anmol Hoty Hain

Rate it:
Views: 791
05 Mar, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets