Add Poetry

''Banjar Zamino'n pe Ishq''

Poet: Khalid Saleem By: Khalid Saleem, Multan

Ajeeb Khitta-E-Behiss Me Ishq Kr Bethey
Dil-O-Nazar Hen Jahan Qaid Umar Bhar K Lye
Zuban-O-Harf Jahan Kooza Gari K Hen Ghulam
Magar Ehsas Ka Khanjar Pevast Seeney Me
Koi Is Zakhm K Mar'ham Ka Rwa'daar Nhi
Wo Dil Wo Ankh Kahan Se Bhla Me Laun Ab
Jo Tere Ishq K Ehsas Se Labraiz Na Hon
Me Ab Wo Harf E Shikasta Kahun To Kese Kahun
Jo Tere Husn Ki Mid'hat Me Sajda Raiz Na Hon
Yaa Muje Khitta-E-Banjar Se Bedakhal Kr Do
Ya Oss Daal K Jazbon Ko Mere Shall Kr Do
Na Hoga Ishq Yahan Faisla Atal Kr Do
''Gari Hen Kitni Saliben
Mere Darichey Me''
Muje Ye Kehney Do K Jitney B Mash'hoor Huwe
Wo Ishq Sirf Kitabon Me Hi Mil Sktey Hen
Wagarna Khitta-E-Behiss Ki Ye Riwayat He
Yahan Pe Ishq Ki Shorish Panap Nhi Skti
Dil-O-Nigah Gar Ye Jurm Kr Hi Bethey Hen
Zuba'n Ko Band Rkho Aur Sada Sulagtey Raho
Qehat Raseeda Zami'n Pr Bahaar Mushkil He...
 

Rate it:
Views: 1205
27 Apr, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets