Fasila Kam Se Kam Huwa Ja Raha Hay
Tayari E Manzil K Liyae Mgr Kuch Na Ho Pa Raha Hay
Safar K Andeshon Ne Har Dam Uljhayae Rakha Hay
Abhi Qareb E Manzil Tu Yad Aa Raha Hay
Na Bheja Tujhe Kuch Na Hal Pocha Kisi Se
Dastake Dar Ki Ghari Se Dil Ghbra Raha Hay
Hale Dil Kiya Hay Koyi Mujh Se Poche
Dharkanen Hain Ye Dil Ki Ya Daf Baj Raha Hay
Soach Abhi Aa Rahi Hay, Is Garhi Ki Hi Khatir, Kia Kuch To Hota
Use Kia Gham Hay, Kaleja Mera Hi Munh Ko Aa Raha Hay
Tujhe Bhi Ghumand Tha Hameed, Apni Hoshmandi Ka
Na Age Ko Dekha, Apni Hoshmandi Ka Sila Aa Raha Hay
Na Socha Kabhi Tha Na Mani Kisi Ki
Anjam Is Be Khudi Ka Dase Ja Raha Hay
Her Zawae Se Soch Chal Pari Hay Be Basi Be Basi Hay
Wahshat Hay Ye Esi Her Qadam Dagmaga Raha Hay
Koyi Sath Holay K Dharas Bandha Day
Idher Dekhta Hon Udher Dekhta Hon Nazar Kuch Nahin Aa Raha Hay
Tu Hi Janta Hay Mire Hal Dil Ko
Don Wasta Tira Hi Tujhi Ko Yahi Hosla Aa Raha Hay
Suni Hain Karimi Tiri Ki Dastanein Buhut
Hoga Mujh Per B Karam Khial Yahi Aa Raha Hay