Add Poetry

Aaina

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Jo Likha Tha Kaghaz Pe, Wo Sab Kuch Baha Diya
Apne Dil Ki Taskee’n Ka Gulshan Jala Diya

Aaina Dekh Khar, Wo Kyun Ghabra Gaye ?
Jaise Apne Hatho’n Se Apna Sab Kuch Mita Diya

Be-wafai Karke Humne Wafa Ka Sabaq Seekha Hai
Apni Be-Ja Harkato’n Se Aaj Sab Kuch Ganwa Diya

Unki Nazro’n Mein Apna Maqam Banane Ki Khatir
Jo Kamaya Tha, Ek Pall Mein Sab Kuch Luta Diya

Dekhte Dekhte Kitni Girhe’n Bandh Chuki Hain
Sochtey Sochtey Kitni Uljhane Badha Diya

Sabko Aaina Dikhane Wale Aaj Kyun Khamosh Ho ?
Jaise Apne Aybo’n Ko Pardey mein Chupa Diya

Unki Nazro’n Se Shakir Tum Mukammal Gir Chukey Ho
Ye Kisne Tumhein Be-Rukhi Se Aaina Dikha Diya ?
 

Rate it:
Views: 431
14 Jul, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets