Aakhen Khuli Rahain Ge Toh

Poet: mohsin By: Haseeb, karachi

Aakhen Khuli Rahain Ge Toh Manzar Bhi Ayen Gay
Zinda Hai Dil Toh Aur Sitamgarr Bhi Ayen Gay

Pehchaan Lo Tamaam Faqeeron Kay Khadd-O-Khaal
Kuch Log Shab Ko Bhais Badal Kar Bhi Ayen Gay

Gehri Khamosh Jheel Kay Paani Ko Yun Na Chaidh
Cheenthay Urdhi Toh Teri Qaba Par Bhi Ayen Gay

Khud Ko Chhupa Na Sheesha Garon Ki Dukhaan M
Sheeshay Chamak Rahey Hain Toh Pathar Bhi Ayen Gay

Aye Shehr Yaar Dasht Say Fursat Nahi — Magar
Niklay Safar Pay Hum Toh Teray Ghar Bhi Ayen Gay

*Mohsin* Abhi Saba Ki Sakhawat Pay Khush Na Ho
Jhonkay Yehi Basoorat-E-Sarr Sarr Bhi Ayen Gay

Rate it:
Views: 633
13 Jan, 2012