Aakhir Kyun Aisa Hota Hai
Jise Mila Hai Apna Pyar
Vo Use Paa Kar Bhi Ek Din Khota Hai
Aur Jo Na Pa Saka Dil Ka Meet
Voh Tanhaai Me Aksar Rota Hai
Aakhir Kyun Aisa Hota Hai
Jis Pyar Ko Pane Ke Liye Dil Har Pal Tadapta Hai
Duniya Walon Ke Liye Vo Bus Ek Dhoka Hai
Jahan Me Insaano Ki Kami Nahi
Phir Unhe Pyar Se Kisne Roka Hai
Aakhir Kyun Aisa Hota Hai
Jinke Ek Deedar Ko Ye Dil Tarasta Hai
Jaane Ye Nazar Unhi Pe Kyu Theharti Hai
Jo Ek Pal Ka Bhi Saath Na De Sake
Dil Ko Unhi Ke Aane Ki Ummid Kyun Rehti Hai
Aakhir Kyun Aisa Hota Hai
Jise Kabhi Dekha He Na Ho Zindgi Ke Safar Me
Kabhi-Kabhi Sakhs Vahi Humsafar Hota Hai
Par Kese Samjhaye Is Bazaar Ka Dastoor Unko
Bik Gaya Jo Ek Baar Vo Kharid Daar Kaha Hota Hai
Aakhir Kyun Aisa Hota Hai
Bhulna Chahe Jise Dil Pal Bhar Ke Liye
Har Ghari Yaad Usi Ki Kyun Aati Hai
Humare Dil Me Rehne Wali Ye Dharkan Bhi
Unhi Ka Saath Kyun Nibhati Hai