Akhiri Shab December Ki Bohat Hi Sard Thi Jana
Meray Dhundlay Say Khawabon Par Waqat Ki Gird Thi Jana
Koi Fart -E- Mussarat Se Hawa Masror Thi Lekin
Kisi Ki Yaad May Chehra Koi Bay-Noor Tha Lekin
Wohi Tha Wqat Wohi Pal Tha Wohi To Aaj Or Kal Thay
Magar Koi Kami Si Thi Aankh May Phir Nami Si Thi
Kisi Halki Si Aahat Par Meri Dharkan Thami Si Thi
Naye Baras Ki Aamad May Abhi Kuch Dair Baqi Thi
Tumhara Muntazir Raha May Nigahon May Udaasi Thi
Chalo Is Bar Bhi In Hasratoon Ka Khoon Kardiya Tum Ne
Na Milne Aa Saktay Thay Tu Aik Phone Kardiya Hota Tum Ne
May Apne Ghar Ki Chhokhat Pay Naya Deepak Jalaonga
Tumhari Yaad Ke Sang Ye Haseen Lamhe Bitaonga
Sitaron Se Karta Raha Guftugu Shab Bhar May Jaagta Raha
Saal K Phelay Lamhay May Bus Tumko Hi Maangta Raha
Tumhay Kesay Khabar Hogi
Najane Kab Sehar Hogi
Abhi To Dairy May Dil Ka Sub Ahwaal Likhna Hay
Kay Tum Bin Kistarhan Guzara Hay Wo Pichla Saal Likhna Hay