Samunder Mein Utarti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Teri Aankhoon Ko Parhti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Tumhara Naam Likhne Ki Ijaazat Chinn Gaii Jab Se
Koii Bi Lafz Likhti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Teri Yaadoon Ki Khushboo Khirkioon Mein Raqs Karti Hai
Tere Gham Mein Sulagti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Main Hans Ke Jheel Leti Hoon Judaii Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Na Jaane Ho Gai Hoon Is Qadar Hassaas Kab Se
Kisi Se Baat Karti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Woh Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khatt Jo Parhtii Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Main Saraa Din Bohat Masroof Rehtii Hoon Magar Yoonhi
Qadm Chokhat Par Rakhti Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Har Ik Muflis Ke Maathe Par Alam Ki Daastaanein Hain
Koii Bi Chehraa Parhtii Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Barhe Logoo Ke Oonche Badnumaa Aur Sard Mahaloo Ko
Gariib Ki Aankhoon Se Taktii Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Tere Koochay Se Mera Talluk Ab Waajbi Saa Hai
Magar Jab Bi Guzartii Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain
Hazaroo Mausmoo Ki Hukmraani Hai Mere Dil Par
"Wasi" Main Jab Bi Hanstii Hoon To Aankhein Bhiig Jaati Hain