Add Poetry

Aarzoo

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, Multan

Maar Dia Hai, Yakeen E Arzu
Qarz Hai Magr ! Takfeen E Arzu

Sare Muamlaat ! Hen Sabar Azma
Ghusal K Baad Hai, Tadfeen E Arzu

Tmash E Qalb Ki, Taskin K Liye
Ramaq ! Dikha Rahi, Tamkeen E Arzu

Basurat E Izaa, Khizan K Darmyan
Dilon Ko Dhundti, Sangeen E Arzu

Bazm E Jaan Ki, Hai Mustqil Safeer
Mehak Ki Shayara, Parveen E Arzu

Bayaaj E Husan Ki, Doarr Me Bandhi
Hmari Ye Nazr ! Raheen E Arzu

Feess ! Le Gai, Wakalat E Zameer
Aur Bik Gai ! Zameen E Arzu

Tabah Ho Gya ! Lahu Ka Karobaar
Jaam Ho Gai ! Machine E Arzu

Shayad ! Is Me Ho, Sitara E Vasal
Chumte Hein Hum ! Jabeen E Arzu

Naqaab Se Karen, Chand Ki Talab
Kese Kese Hein, Shoqeen E Arzu

Usko Phir Koi ! Jagah Nahi Mili
Jo Bhi Hogya ! Makeen E Arzu

Behtreen Hai, Be' Misaal Hai
Shikaar E Sharm Ko, Kameen E Aarzu

Razab K Zimn Me, Zaruri Inkshaaf
Hai ! Tursh Naujwan, Namkeen E Aarzu

Rate it:
Views: 348
04 Jan, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets