Add Poetry

Aasaar

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Sahil Pe Tufa’n Ke Aasaar Nazar Aa Rahe Hain
Apni Barbadi Ke Sama’n Nazar Aa Rahe Hain

Tuti Hui Kashti Hai, Kab-tak Safar Karte
Darya Mein Dubne Ke Khatrey Nazar Aa Rahe Hain

Hanste Hanste Aankhon Mein Aansu Bhi Aa Gaye
Maazi Ke Pardo’n Mein Chupey Gham Nazar Aa Rahe Hain

Humne Unke Saath Dosti Ki Tamanna Ki Thi
Phir Kyun Wo Dushmani Nibhate Nazar Aa Rahe Hain

Ayse Ghaflat Mein Baithey Hain Wo, Jaise Kuch Hua Hi Nahi
Aaj Unke Andaz Kuch Badley Badley Nazar Aa Rahe Hain

Kyun Unhe Hamari Bato’n Par Aitebar Nahi Hota
Ruthey Ruthey Se Aaj Sarkar Nazar Aa Rahe Hain

Itne Tanha Aaj se Pehle Hum Kabhi Na They
Apno Ki Mehfil Mein Hokar Bhi Begane Nazar Aa Rahe Hain

Bantey Bantey Ban Gayee, Ek Ajeeb Dastan-e-Sukhan
Is Kahani Mein Na Jane Kaise Kirdar Nazar Aa Rahe Hain

Unki Dua’on Mein Shakir, Ab Wo Taasir Na Rahi Lekin
Aye Khuda Tere Dar Pe, Aaj Bhi Wo Rotey Nazar Aa Rahe Hain
 

Rate it:
Views: 527
11 Jul, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets