Ab Bicharna Hi Hay To
Ao Kar Lain Hisab Khuch Lamhoon Ka
Meri Jitni Needdain Ujri Hain
Meray Jitay Ansoo Bahay Hain
Main Ne Tum Ko Jitna Chaha Hay
Or Baqool Tumharay
Tumhe Jitna Sataya Hay
Or Wo Tumharay Sab Alfaz
K Moujhe Say Nafrat Kar Lo
Meri Nazron Say Ojhal Ho Jao
Ao In Sab Ki Kiamat Ada Kar Lain
Pehlay Tum Moujhe Sau Tot K Muhbbat Karo
Phir Main Apna Loon Gi Andaz Nafratoon Ka
Ab Bicharna Hi Hay To
Ao Kar Lain Hisab Khuch Lamhoon Ka