Abhi Kya Kahen Abhi Kya Sunayen
Ke Sar-E-Fasil-E-Sukut-E-Jan
Kuf-E-Roz-O-Shab Pe Sharar Numa
Wo Jo Harf Jarf Charag Tha
Use Kis Hawa Ne Bujha Diya
Kabhi Lab Hilenge To Puchna
Sar-E-Sahar-E-Ahad-E-Wisal-E-Dil
Wo Jo Nikahaton Ka Hujum Tha
Use Dast-E-Mauj-E-Firaq Ne
Tah-E-Khak Kab Se Mila Diya
Kabhi Gul Khilenge To Puchna
Abhi Kya Kahen Abhi Kya Sunayen
Yun Hi Khwahishon K Fishar Main
Kabhi Be-Sabab Kabhi Bekhalal
Kahan Kaun Kis Se Bichar Gaya
Kise Kis Ne Kaise Ganwa Diya”MOHSIN”
Kabhi Phir Milenge To Puchna
Kabhi Phir Milenge To Puchna