Add Poetry

Abi Koi Khuab Rehnay do!!

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: Syeda Sadia Amber Jilani, FaisalAbad

Abi Be-Khuab Hain Ankhen Abi Koi Khuab Rehnay Do
Udhoray Lafaz Hain Jiss K Abi Woh Baab Rehnay Do

Iss Rah Pay Tohmat Kahen Naa Tum Pay Aajaye
Meray Lutnay Ko Chorro Tum Sabhi Asbaab Rehnay Do

Husan-O-Nazakat Ka Tualuk Hota Hy Aisa Hi
Naa Wajah Koi Socho Tum Chorro Janaab Rehnay Do

Main Saathi Dard Ki Hun Baasi Gehri Udaasi Ki
Kahen Na Saath Jal Jana Tum Iztaraab Rehnay Do

Yaha'n Tualuk Mafado'n K Yaha'n Rishtay Hain Miyaaro'n K
Kaha'n Tak Saath Do Gay Tum Meray Ahbaab Rehnay Do

Muhabat Ka Wafao'n Ka Bharam Kuch Tu Rahay Baaki
Zara Si Kasak Rahnay Do Koi Azaab Rehnay Do

Kamsin Ho Jurat Mein Tu Rasman Dard Naa Cherro
Talafi Jaha'n Na-Mumkin Ho Woh Ahtasaab Rehnay Do

Iss Rah Pay Bikhray Hain Issi Naam Nay Loota
Dareechay Saray Muhabat K Band Sabhi Baab Rehnay Do

Yeh Kia K Jab Chaho Haath Thaam Lo Mera
Chaho Jab Mujhay Tum Be-Sabab Be-Taab Rehnay Do

Wajah Ashqo'n Ki Dekho Naam Uss Ka Ban Giya Amber
Khamoshi Say Dard Seh Jao Sabhi Intasaab Rehnay Do
 

Rate it:
Views: 375
19 May, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets