Add Poetry

Adhoori Khwahishe

Poet: By: Nomi, karachi

Ye Chand Din Jo Aaye Hain
Phir Dukh Samait Laaye Hain
Meri Adhoori Khwahisho Ko
Peet Peet Kar Jagaaye Hain

Anjaane Lamho Se Pehchaan Chaahe
Bichhre Apno Se Mulakaat Chaahe
Dekhi Nahi Jo Raahe Kabhi
Un Raahon Par Apne Nishaan Chaahe

Ye Chand Din Jo Aaye Hain
Meri Adhoori Khwahisho Ko
Peet Peet Kar Jagaaye Hain

Ugta Suraj Dhalta Sa Lage
Behta Paani Jamta Sa Lage
Rukta Nahi Hai Samay Kabhi
Phir Bhi Ye Jeevan, Thamta Sa Lage

Taaro Se Roshni Jhilmilati Nahi
Baagho Mein Khushbu Lehraati Nahi
Prakrati Ne Khela, Khel Ye Kaisa
Saagar Mein Lehre Gungunaati Nahi

Ye Chand Din Jo Aaye Hain
Meri Adhoori Khwahisho Ko
Peet Peet Kar Jagaaye Hain

Anjaane Lamho Se Pehchaan Chaahe
Bichhre Apno Se Mulakaat Chaahe
Dekhi Nahi Jo Raahe Kabhi
Un Raahon Par Apne Nishaan Chaahe

Ye Chand Din Jo Aaye Hain
Phir Dukh Samait Laaye Hain
Meri Adhoori Khwahisho Ko
Peet Peet Kar Jagaaye Hain

Rate it:
Views: 533
13 Oct, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets