Sukhey Darakhto’n Ke Kabhi Saaye Nahi Hote
Gar Apni Barbadi Ke Ye Tufa’n Na Aaye Hote
Aandhiyo’n Tumne Loota Hai Mere Aashya’n Ko
Gar In Rasto’n Par Hamne Ye Charag Na Jalaye Hote
Kaise Nibhaye’nge Hum, Unse Apni Wafa-dari
Gar Kanch Se Ye Nazuk Rishtey Na Banaye Hote
Kuch Taro’n Ko Suljhane Mein Ek Umr Guazar Jati Hai
Gar Ye Rishto’n Mein Ayse Darar Na Aaye Hote
Hum Agar Qatra Bhi Peena Chahe’n To Unhe Aitraz Hai
Log Darya Bahakar Bhi Pashema’n Nahi Hote
Kaise Guzregi Zindagi Ab Unse Door Reh Kar
Gar Aise Haalat Apne Samne Na Aaye Hote
Abhi Zakhm Taza Hai Dil Ki Deewaro’n Par
Gar Ye Ulfat Ke Naghme Na Is Tarah Gaaye Hote
Na Jane Mera Tuta Hua Safina Ab Kaha’n Thehrega
Gar Musibat Ke Ye Tufa’n Aaj Aaye Na Hote
Har Shay Mayassar Ho Ye Mumkin Nahi Shakir
Gar Apni Aankho’n Mein Aise Khwab Na Sajaye Hote