Add Poetry

Ajab Pagal Si Larki Hai

Poet: Hasni Naveed Afridi By: Minhal, karachi

Ajab Pagal Si Larki Hai……..Mujhe Har Khat Mein Likhti Hai
Mujhe Tum Yaad Kerte Ho……..Tumhe Mein Yaad Aati Hoon
Meri Batein Satati Hein …….Meri Neendain Jagati Hein
Meri Ankhein Rulati Hein
December Ki Sunehri Dhoop Mein Ab Bhi Tehaltey Ho
Kisi Khamosh Rastey Se Koi Awwaaz Aati Hai
Titharti Sard Raatoon Mein Tum Ab Bhi Chat Pe Tehalte Ho
Falak Ke Sab Sitaroon Ko Meri Baatein Sunate Ho
Kitaboon Se Tumhare Ishq Mein Koi Kami Ayi
Ya Meri Yaad Ki Shiddat Se Ankhoon Mein Nami Ayi
Ajab Pagal Si Larki Hai….Mujhe Har Khat Mein Likhti Hai
Jawaban Usko Likhta Hoon….Meri Masroofiyat Dekho
Sehar Se Shaam Office Mein Charagh E Umar Jalta Hai
Phir Uske Baad Duniya Ki Kayi Majbooriyan Paon Mein Beeri Daal Rakhti Hein
Mujhe Be Fiker Chahat Se Bharey Sapney Nai Dikhte
Tehaltey Jaagte Roney Ki Fursat Hi Nahi Milti
Sitaroon Se Mile Arsa Hua Naraz Hein Shayad
Kitaboon Se Shugaf Mera Abhi Waise Hi Qaim Hai
Bas Ab Itna Hua Hai Mein Unhe Arsey Mein Parhta Hoon
Tumhein Kisne Kaha Pagli Tumhe Mein Yaad Kerta Hoon
Ke Mein Khud Ko Bhulaney Ki Musalsal Justujoo Mein Hoon
Tumhe Na Yaad Aaney Ki Musalsal Justujoo Mein Hoon
Magar Ye Justujoo Meri Bhot Nakaam Rehti Hai
Mere Din Raat Mein Ab Bhi Tumhari Shaam Rehti Hai
Mere Lafzoon Ki Har Maala Tumhare Naam Rehti Hai
Tumhein Kisne Kaha Pagli Mujhe Tum Yaad Aati Ho
Purani Baat Hai Jo Log Aksar Gungunate Hein
Unhein Hum Yaad Kerte Hein Jinhein Hum Bhool Jate Hein
Ajab Pagal Si Larki Ho…..Meri Masroofiyat Dekho
Tumhein Dil Se Bhulaon Tu Tumhari Yaad Aye Na
Tumhe Dil Se Bhulaney Ki Mujhe Fursat Nai Milti
Aur Is Masroof Jeevan Mein….Tumhare Khat Ka Ik Jumla
Tumhein Mein Yaad Ati Hoon
Meri Chahat Ki Shiddat Mein Kami Hone Nai Deta
Bhot Raatein Jagata Hai Mujhe Soonay Nai Deta
So Agli Baar Apne Khat Mein Ye Jumla Nai Likhna
Ajab Pagal Si Larki Hai….Mujhe Phr Bhi Ye Kehti Hai
Mujhe Tum Yaad Kerte Ho…Tumhe Mein Yaad Ati Hoon

Rate it:
Views: 2782
22 Aug, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
احساس باقی رے جاتا ہے کاغذ پر بہی احساس باقی رے جاتا ہے کاغذ پر بہی
ہم نے کہیں بار دیکھا ہے تیرا نام مٹا کر بہی
اک یادیں تیری گمشدہ اک نگاہیں تلاش میں
ہوتی ہیں ہر روز یہ اذیتیں میرے عذاب پر بہی
ہم نے حسرت کیا کی تیرے ہجر میں وصال کی
بھیگ گیا اشک ظلم ہوا دل پر بہی
نہ سکون میری زندگی میں نہ خوفے ہشر مجھ کافر کو
کیا خاک چین آئے گا مجھے مر کر بہی
بے مثال میری زندگی مجھ پر ظلم کیا حسرتوں نے
بے رحم ہیں اس کی یادیں مجھے سکون نہ آیا بھلا کر بہی
وہی ستم ہوا دل پر تیرے خوابوں میں یادوں کی طرح
ہم نے کہیں بار دیکھا ہے سو کر بہی
آخر مصروفیت اختیار کی غموں کو بھلانے کے خاطر
لیکن دل نہ بھلا میرا کسی کام پر بہی
چھوڑ کر مجھ کو وہ آباد رہا چلو ٹھیک ہے
لیکن کیا خوش ہوگا وہ بے وفا میرے مرنے پر بہی
ہو تشنکی بے اختیار وصالے یار کی جنہیں
کیا خوب ژندہ رہتے ہیں وہ ہر روز مر کر بہی
کم پڑھ گئے لفظ میرے پاس شاعری میں بھرنے
لیکن کم نہ ہوہے میرے درد غزلیں لکھ کر بہی
.کیا تعلق جھڑا ہے میرا ان غموں کے ساتھ . ۔ثاقب
جو اب جی نہیں لگتا میرا خوش ہو کر بہی
Kashif jatt
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets