Add Poetry

Ajnabi Shahar Ajnabi Rastey

Poet: Shahbaz Ahmed khaskheli By: Shahbaz Ahmed, thatta,karachi

Ajnabi Shahar Kay Ajnabi Rastay
Mairee Tanhayee Per Muskuraty Rahay

Mai Bohut Dair Tak Yunhi Chalta Raha
Tum Bohut Dair Tak Yaad Atay Rhay

Zahar Milta Raha Zahar Peetay Rahay
Roz Martay Rahay Roz Jeetay Rahay

Zindagee Bhi Hamain Azmaatee Rahi
Aur Hum Bhi Ussay Azmatay Rahay

Zakham Jub Bhi Koi Zayhno Dil Per Laga
Zindagee Ki Taraf Ik Dareecha Khulla

Hum Bhi Goya Kissi Saaz Kay Taar Hain
Chot Khatay Rahay Muskuratay Rahay

Kal Kuch Aisa Hua Mai Bohut Thuk Gaya
Iss Liyea Sun Kay Bhi Unsuni Kar Gaya

Kitnee Yadon Kay Bhatkay Huey Karvan
Dil Ki Zakhmon Kay Dur Khatkhtaty Rahay

 

Rate it:
Views: 549
15 Mar, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets