Meri Khaak Par, Wo Ansu Kyun-kar Baha Rahe Hain
Lagta Hai Apna Rona, Dunya Ko Dikha Rahe Hain
Shana-Ba-Shana Saath Rahe, Jin Ke Hum Umr Bhar
Aaj Wo Hi Apne Shano Par Hamein Utha Rahe Hain
Ta-Umr Naye Kapdo’n Ki Aarzu Na Ki Maine
Sans Tut-te Hi, Log Naya Libas Pehna Rahe Hain
Apne Hatho’n Ko Sawari Ke Bahar Khula Rakh-kar
Is Akhri Safar Mein Shakir Dunya Ko Kya Sikha Rahe Hain
Gair Mehram Ke Saaye Mein, Dekho Mujhe Na Dafn Karna
Aakhri Sans Mein Ye Kaisi Wasiyat Farma Rahe Hain
Jin Ki Khatir Sans Tuti Thi, Wo Bahot Door Khadey They
Khair Hua, Hamari Namaz Koi Aur to Padha Rahe Hain !
Kitni Sasti Hogayi Hain Ye Phulo’n Ki Ladiya’n
Apne Hatho’n Se Dekho, Meri Turbat Saja Rahe Hain
Ye Kaisa Safar Taye Kiya Hai is Umr-e-Na-Tawa’n Mein
Maa Ki Goad Se Qabr Ki Goad Mein Hum Ja Rahe Hain
Ta-umr Jalta Raha Main Nafrato’n Ki Aag Mein
Uff… Marne Ke Baad Bhi, Wo Meri Khak Pe Diye Jala Rahe Hain
Do Ghazz Zamee’n Ka Tukda, Ab Ye Mera Ghar Hai
Apne Aamal Ko Dekh Kar Shakir, Ab Kyun Ghabra Rahe Hain