Kal Hamesha Ki Tarha Us Ne Kaha Ye Phone Par
May Bohot Masroof Hoon Mujhko Bohot Say Kam Hain
Is Liye Tum Aao Milnay May To Aa Sakti Nahi
Har Riwaayat Tor Kar Is Baar May Nay Keh Dia
Tum Jo Ho Masroof To May Bhi Bohot Masroof Hoon
Tum Jo Ho Mash-Hoor To May Bhi Bohot Maroof Hoon
Tum Agar Ghamgeen Ho May Bhi Bohot Ranjor Hoon
Tum Thakan Say Choor To May Bhi Thakan Say Choor Hoon
Jaan-E-Mann Hay Waqt Mera Bhi Bohot Hi Qeemtee
Kuch Puraanay Dosto Nay Milnay Aana Hay Abhi
May Bhi Ab Faarigh Nahi Mujhko Bhi Laakho Kam Hain
Warna Kehnay Ko To Sab Lamhay Tumhaaray Naam Hun
Meri Aankhyn Bhi Bohot Bojhal Hain Sona Hay Mujhe
Ratjagon Kay Baad Ab Neendo May Khona Hay Mujhe
May Lahoo Apni Anaao Ka Bahaa Sakta Nahi
Tum Nahi Aati To Milnay May Bhi Aa Sakta Nahi
Usko Ye Keh Kay Wasi May Nay Receiver Rakh Dia
Aur Phir Apni Anaa K Paau Pe Sar Rakh Dia