Add Poetry

Apni Khatir Hansey Ho Roye Ho

Poet: Zeeshan By: Shanzee, karachi

Apni Khatir Jaggey Ho Soye Ho
Apni Khatir Hansey Ho Roye Ho
Kis Liye Aaj Khoye Khoye Ho

Tum Ne Aansu Bahut Piye Apney
Tum Bahut Saal Reh Liye Apney

Ab Mreey Sirf Merey Ho Kar Raho
Husan Hi Husan Ho Zahaanat Ho

Ishq Hoon Main To Tum Mohabbat Ho
Tum Meri Bas Meri Amaanat Ho

Ji Liye Jis Qadar Jiye Apney
Tum Bahut Saal Reh Liye Apney
Ab Mreey Sirf Merey Ho Kar Raho

Rehtey Ho Ranj O Gham Ke Gheron Main
Dukh Ke Aaseb Ke Baseron Main
Kaisey Choron Tumhein Andheron Main

Tum Ko De Doon Ga Sab Diye Apney
Tum Bahut Saal Reh Liye Apney

Ab Mreey Sirf Merey Ho Kar Raho
Tum Azal Se Dukhon Ke Derey Ho

Chaahey Khud Ko Ghamon Se Gherey Ho
Jab Se Peda Huye Ho Merey Ho

Aaj Kholein Ge Lab Siye Apney
Tum Bahut Saal Reh Liye Apney

Ab Mreey Sirf Merey Ho Kar Raho
Ab Mujhey Apney Dard Sehney Do

Dil Ki Har Bat Dil Se Kehney Do
Meri Banhon Main Khud Ko Behney Do

Muddaton Zakhm Khud Siye Apney
Tum Bahut Saal Reh Liye Apney
Ab Mreey Sirf Merey Ho Kar Raho

Rate it:
Views: 719
20 Oct, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets