Dua Bara E Mazdoor SITE Factory KHI (Aatish Zadgi)
Ay Abry Rehamat Na Baras Ham Pe Aaj
Na Rehjain Ham Shaheedon Ko Dadfeen Karny Me Aaj
Bohot Dard O Ahazari Hay Un Gharanon Me Aaj
Ay Khaliq Tery Mehboob Ki Ummat Prishan Hay Khususan Aaj
Jo dekha Apni Ankhon Se To Goya Pathra Gain Hain Ankhain Aaj
Ey Jo Manzar Mera Qlam Band Kar Gaya Hay Aaj
Uski Tehreer Bhi Gham Se Khaq Hogain hain Aaj
Ya Rab Jo Log Is Haadsy Me khogay Hain Aaj
Hum Sab Teri Bargaah Me Unsab Keley Dua E Maghfirat Karty Hain Aaj
Ya Rab Jo Log Shaheed Ho Gay Hain Aaj
Unky Warsa Ko Sabr E Jamil Ata Kardy Aaj
Mabood Tu Behtar Janta Hay Un Sab K Haq Me Jo Behter Hay Ata Kardy Aaj
Mabood tera Hi Aasra Hay Tu Is Shab Ko Kuch Asaan Kardy Aaj
Ey Shab Ya Mabood Ham Pe Bohot Taveel Lagti Hay Aaj
Na Ankhain Dekhny K Qabil Hay Na Zaban kuch Kehny K Qabil Hay Aaj
Ya Rab Tu Dilon K Bhyd Behter Janta Hay Ham Sab Pe Karam Kardy Aaj