Add Poetry

Aye Aanso Tere Kai Chehray Hain

Poet: KARAN By: SAMEER, KARACHI

Kabhi Behtay Hai Bebasi Se
Kabhi Behtay Hai Ye Khoshi Se

Tu Kabhi Beh Jatay Hai Preshan Zindagi Se
Pathron Ko Bhi Moom Ker Dein Ye Apni Nami Se

Bebasi K Ye Aanso Rolain Mujhe
Hadse Kaise Kaise Aazmai Mujhe

Dard Ki Kaisi Emaart Hain Ye
Ankho Se Jab Ye Chalke Tu Gir Jain Ye

Jab Farishton Ki Ankhon Se Bhe Ye
Tu Pathron Ki Dil Bhi Pighal Lain Ye

Apne Halaat Pe Her Kisi Baat Pe
Ger Andhron Main Chupe Tu Ujalo Se Jal Jain Ye

Dard Ki Aag Main Itna Jale Ye
Ho Khoshi Bhi Ger Tu Nikal Aaye Ye

Qaid Inko Karege Ham Kaise Bhala
Ankhon Se Na Bahe Tu Dil Ko Rolain Ye

Kitne Sadmon Ka Janaza Utha Ke
Aansuo Ka Kafan Setay Jain Ye

Ab Inhe Ham Ankhon Main Ger Chupa Lein
Tu Ankhon Main Rah K Sadma Ban Jain Ye

Aye Aanso Tere Kai Chehray Hain
Rote Rote Bhi Kabhi Muskurain Ye
 

Rate it:
Views: 766
25 Nov, 2007
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets